Parda Rukhe Zeba Se Utha Kyuñ Nahiñ Dete.

Parda Rukhe Zeba Se Utha Kyuñ Nahiñ Dete. Lyrics

Qawwal : Maulvi Ahmad Hasan

 

Parda Rukh-e Zeba Se Utha Kyuñ Nahiñ Dete
Beemar-e Mohabbat Ko Dawaa Kyuñ Nahiñ Dete

 

(Parda uthe ke do andaz bayan karuñga. Samaat farmaayeñ 🙂

 

Parda Rukh-e Zeba Se Utha ..
Parda Rukh-e Zeba Se Utha ..

 

Mujhe Sukoon Nahiñ Aur Mujhe Qaraar Nahi
Baghair Tere, Mere Dilruba Bahar Nahiñ

Bahisht Meiñ Bhi Pahuñch Kar Mujhe Qaraar Nahi
Ye Koi Aur Jagah Hai Dayaar-e Yaar Nahiñ

Laboñ Pe Dam, Hai Nazar Wakf-Tar Hai, Dil Betaab
Chale Bhi Aao Ke Ab Taab-e Intizar Nahiñ

Hareem-e Naaz Ke Parde Zara Utha Deeje
Wo BeQaraar Huñ Dam-bhar Jise Qaraar Nahi

 

Parda Rukh-e Zeba Se Utha
Parda Rukh-e Zeba Se Utha

 

Gulzar Hast Bood Na BeGaana-waar Dekh
Hai Dekhne Ki Cheez Ise Baar Baar Dekh
Mana Ke Teri Deed Ke Qaabil Nahi Huñ Maiñ
Tu Mera Shauq Dekh Mera Intizar Dekh

 

Parda Rukhe Zeba Se Utha
Parda Rukh-e Zeba Se Utha

 

Jiski Karta Huñ Tilawat Wo Teri Tasveer Hai
Mus’haf-e Rukh Hi Tera Qur’aan Ki Tafseer Hai

Aap Hi Batlaayeñ Mukh Ko Kis Taraf Sajda Karuñ
Jis Taraf Bhi Dekhta Huñ Aap Ki Tasveer Hai

Jis Taraf Bhi Dekhta Huñ Aap Ki Tasveer Hai ..

 

Jab BaJuz Tere Koi Doosra Maujood Nahiñ

Jis Taraf Bhi Dekhta Huñ Aap Ki Tasveer Hai
Jis Taraf Bhi Dekhta Huñ Aap Ki Tasveer Hai

 

Kyuñ Paduñ Dair o Haram Ke Chakkroñ Meiñ Ab Bhala
Deen o Eemañ Sab Mera Jo Kuchh Hai Mera Peer Hai

Maine Ye Maana Ke Laa Sakta Nahi Taab-e Jamaal
Rukh Se Parda To Hataya Ye Meri Taqdeer Hai

 

Parda Rukh-e Zeba Se Utha
Parda Rukhe Zeba Se Utha.

 

Ada Unki Kahti Hai Maiñ Huñ Maseeha
Qaza Meri Kahti Hai Qaatil Yahi Hai

Parda Rukh-e Zeba Se Utha
Parda Rukh-e Zeba Se Utha

 

Naqaab Kahti Hai Maiñ Parda-e Qayamat Huñ
Nahi Yaqeen To Dekho Zara Utha Ke Mujhe

Parda Rukh-e Zeba Se Utha
Parda Rukh-e Zeba Se Utha

 

Utha Deeje Nigaah-e Shauk Se Parde Hijaaboñ Ke
Hameñ Ye Dekhna Hai Parda Uth Jaane Se Kya Hoga

Parda Rukhe Zeba Se Utha
Parda Rukhe Zeba Se Utha

 

Chala Huñ Aaj Ye Saughaat Le Kar Unki Mahfil Meiñ
Jalan Seene Meiñ, Ashk Aañkhoñ Meiñ, Khoon-e Aarzu Dil Meiñ

Parda Rukh-e Zeba Se Utha ..
Parda Rukh-e Zeba Se Utha ..

 

Ujaad De Mere Dil Ki Duniya, Mere Sukooñ Ko Tabaah Kar De
Yahi Hai Ik Iltijah Meri, Meri Taraf Ik Nigaah Kar De

Ye Parda Daari Hai Kya Tamaasha
Mujhi Meiñ Rah Kar Mujhi Se Parda

Mujhi Meiñ Rah Kar Mujhi Se Parda ..
Mujhi Meiñ Rah Kar Mujhi Se Parda ..

 

Jab BaJuz Tere Koi Doosra Maujood Nahiñ
Phir Samajh Meiñ Nahi Aata Tera Parda Karna, Karna

Mujhi Meiñ Rah Kar Mujhi Se Parda ..
Mujhi Meiñ Rah Kar Mujhi Se Parda ..

 

Ye Parda Daari Hai Kya Tamaasha
Mujhi Meiñ Rah Kar Mujhi Se Parda
Tabaah Karna Agar Hai Mujh Ko
Naqaab Utha Aur Tabaah Kar De

 

Parda Rukh e Zeba Se Utha
Parda Rukh-e Zeba Se Utha

 

Baam Par Aake Utha Do Rukh-e Taabañ Se Naqaab
Ek Izaafa Hi Sahi Toor Ke Afsaane Meiñ

Parda Rukh-e Zeba Se Utha
Parda Rukh-e Zeba Se Utha

 

Adaa o Naaz Se Jis Dam Woh Kaafir Be-Naqaab Aaya
Ziyarat Uski Karne Ke Liye Khud Mahtab Aaya

Qayamat Pe Hai Munhasir Deed Ab
Musafir Ko Manzil Na Yuñ Door Kar

 

Parda Rukh-e Zeba Se Utha ..
Parda Rukh-e Zeba Se Utha ..

 

Aariz Tere Kahte Haiñ Ke Ham Shams o Qamar Haiñ
Abru Tere Kahte Hain Ke Ham Teer o Tabar Haiñ
Dandaañ Tere Kahte Hain Ke Ham Silk o Gohar Haiñ
Aashiq Ka Ye Daawa Hai Ke Ham Seena-Sipar Haiñ

 

Parda Rukh-e Zeba Se Utha
Parda Rukh-e Zeba Se Utha

 

Khanjar-e Qaatil Hai KisKa Intizar
Daalne Waaloñ Ne Gardan Daal Di

Parda Rukh-e Zeba Se Utha
Parda Rukh-e Zeba Se Utha

 

Dair o Haram Meiñ Aap Ko Dhooñdha Kareñge Ham
Jab Tak Na Tu Milega Pukaara Kareñge Ham

Kahna Ye Ishq Ka Hai Ke Ruswa Kareñge Ham
Ye Husn Ko Bhi Zid Hai Ke Dekha Kareñge Ham

Paa Jaane Pe Na Poochh Ke Kya Kya Kareñge Ham
Tujh Ko Bitha Ke Saamne Sajda Kareñge Ham

Tujh Ko Bitha Ke Saamne Sajda Kareñge Ham ..

 

Ye Tamanna Thi Ke Takmeel-e Tamanna Karte
Ham Tere Husn Ka Eemaan Se Sauda Karte

Tujh Ko Bitha Ke Saamne Sajda Kareñge Ham ..

Dil Ki Ye Aarzu Hai Ke TaDpa Kareñge Ham
Aañkheñ Ye Kah Rahi Haiñ Ke Dekha Kareñge Ham

 

Parda Rukh-e Zeba Se Utha
Parda Rukh-e Zeba Se Utha

 

Bana Baithi Teri Yaktayi Khud But-Khana-e Aazar
Khudaayi Kar Gaya Zaahir Tera Ru-Posh Ho Jaana

Husn-e Qaatil Ne Ajab Rang Jama Rakha Hai
Bazm-e Kaunain Ko Deewana Bana Rakha Hai
Ai Rukh-e Yaar Tere Husn Pe MiTne Ke Liye
Dil-e Betaab Ne Hangama Macha Rakha Hai

 

Bas, Parda Rukh-e Zeba Se Utha
Parda Rukh-e Zeba Se Utha …….

 

Ru-e Zeba Ko Jab Tak Chhupate Rahoge
Shor Deewane Yuñ Hi Machate Raheñge

 

Parda Rukh-e Zeba Se Utha
Parda Rukh-e Zeba Se Utha

 

Marna Bhi Aa Gaya Mujhe Jeena Bhi Aa Gaya
Pahchan Ne Laga Huñ Ab Teri Nazar Ko Maiñ

Parda Rukh-e Zeba Se Utha
Parda Rukh-e Zeba Se Utha

 

Kya Batauñ Tumheñ Apne Dil-e Betaab Ka Hal
Tumne Machhli Ko Tadapte Hue Dekha Hoga

Parda Rukh-e Zeba Se Utha
Parda Rukh-e Zeba Se Utha

 

Mujh Naatawaan-e Ishq Ko Samjha Hai Tumne Kya
Daaman Pakad Liya To Chhudaya Na Jaayega

Bayyañ Phadooñgi Maiñ Vinti Karungi
Daaman Phaduñgi Maiñ Ro Ro Kahuñgi

Parda Rukh-e Zeba Se Utha
Parda Rukh-e Zeba Se Utha

 

Ham Dekh Rahe Haiñ Tujhe O Parda-Nasheeñ Dekh
Parde Ka Tere Raaz Na Khul Jaaye Kahiñ Dekh

Parda Rukh-e Zeba Se Utha
Parda Rukh-e Zeba Se Utha

 

Qayamat Pe Hai Mun’hasir Deed Ab
Musafir Ko Manzil Na Ab Door Kar

Parda Rukh-e Zeba Se Utha
Parda Rukh-e Zeba Se Utha

 

( ab samaat farmaayeñ parde ka doosra rukh )

Aaj Is Bazm Meiñ Wo Jalwa-Numa Hota Hai
Dekhiye Dekhiye Ik Aan Meiñ Kya Hota Hai, Lo

Parda Rukh-e Zeba Se Utha
Parda Rukh-e Zeba Se Utha

 

Nikalta Hai Wo Ghar Se Be-Naqaab Aahista Aahista
Ke Jyuñ Mashrik Se Nikle Aaftab Aahista Aahista

Parda Rukh-e Zeba Se Utha
Parda Rukh-e Zeba Se Utha

 

Qaraar o Sabr Ka Jaara Hai Bazm Meiñ Kis Ko
Wo Ik Nigaah Se Mahshar Uthaaye Jaate Haiñ, Lo

Parda Rukh-e Zeba Se Utha
Parda Rukh-e Zeba Se Utha

 

Tamanna Muktasar Si Hai Agar Manzur Ho Jaaye

 

Parda Rukh-e Zeba Se Utha Kyuñ Nahiñ Dete
Beemar-e Mohabbat Ko Dawaa Kyuñ Nahiñ Dete

 

Aawaargi-e Shauk Badha Kyuñ Nahiñ Dete
Jazbaat Ko Aañchal Ki Hawa Kyuñ Nahiñ Dete

 

Shabnam Ho To Aaraayish-e Gul Kyuñ Nahiñ Karte
Shola Ho To Mahfil Ko Jalaa Kyuñ Nahiñ Dete

 

Khushbu Huñ To Saañsoñ Meiñ Basane Meiñ Hai Dar Kya
Dhadkan Huñ To Phir Dil Meiñ Jagah Kyuñ Nahiñ Dete

 

Furqat Ke Samandar Meiñ Koi Doob Raha Hai
Saahil Ho To Phir Haath Badha Kyuñ Nahiñ Dete

 

Munsif Ho To Insaaf Karo Jaur o Jafa Ka
Qaatil Ho To Phir Khoon Baha Kyuñ Nahiñ Dete

 

Bheja Hai Shab o Roz Ka Shikwa o Shiqayat
Wo Dushaman-e Jaañ Hai To Bhula Kyuñ Nahiñ Dete

 

Aasif Ne Tumheñ Toot Ke Chaaha To Khata Ki
Jab Woh Hai Khata-War Saza Kyuñ Nahiñ Dete

 

Parda Rukh-e Zeba Se Utha Kyuñ Nahiñ Dete

  • Comment में राय दीजिए
  • Share कीजिए

Hindi And English lyrics

Qawwali |

Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ |Nazir Ejaz Faridi |  Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |

Naat-E-Paak|

Khalid Mahmud ‘Khalid’ Ajmal Sultanpuri Naat  | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *