Pahuchoon Dare Sarkar Pe Chaaha To Yahi Hai Lyrics
हिंदी में पढ़िए
hain mere khayaaloñ mein wo ehsaas ki soorat
maiñ bhool jaauñ unko ye mumkin hi nahin hai,
dil sun ke unka naam dhadakata hai adab se
haalaañ ke unheñ aañkh se dekha bhi nahiñ hai.
Pahuchoon Dar-e-Sarkar Pe Chaaha To Yahi Hai,
Aage Meri Taqdeer Hai, Tamanna To Yahi Hai.
Yeh Unki Raza Hai Mujhe Bhejeñ Mujhe Rokeiñ,
Waapas Main Nahi Aauñ Ga Socha To Yahi Hai.
Pahuchoon Dare Sarkar Pe Chaaha To Yahi Hai,
Aage Meri Taqdeer Hai, Tamanna To Yahi Hai.
Hain Gumbad E Khazra Ke Siwa aur Bhi Jalwe
Aañkhoñ Ke Liye Khaas Nazaara To Yahi Hai.
Pohuchoon Dare Sarkar Pe Chaaha To Yahi Hai,
Aage Meri Taqdeer Hai, Tamanna To Yahi Hai.
Izhar e Gham e Hijr Ki Kya Shakl Nikaalooñ,
Rone Ki Bhi Taaqat Nahin Rona To Yahi Hai.
Pohuchoon Dare Sarkar Pe Chaaha To Yahi Hai,
Aage Meri Taqdeer Hai, Tamanna To Yahi Hai.
Yaad Unki Rahe Dil Mein, Jamaal Unka Nazar Mein,
Naam Unka Zabaañ Per Rahe Achchha To Yehi Hai.
Pohuchoon Dare Sarkar Pe Chaaha To Yahi Hai,
Aage Meri Taqdeer Hai, Tamanna To Yahi Hai.
Ik Khaas Mahek Aane Lagi Mouj E Hawaa Mein,
Aasar Bataate Hain Madina To Yahi Hai.
Pahuchu Dare Sarkar Pe Chaaha To Yahi Hai,
Aage Meri Taqdeer Hai, Tamanna To Yahi Hai.
Har Saans Se Aati Ho Sada Salle Ala Ki,
Hum Lakh Jiyeiñ, Asl Meiñ Jeena To Yehi Hai.
Pahuchu Dare Sarkar Pe Chaaha To Yahi Hai,
Aage Meri Taqdeer Hai, Tamanna To Yahi Hai.
Taiba Mein Huñ Sab Kuch Mere Daaman Meiñ Hai “Aasi”
Duniya Ka Karooñ Kya? Meri Duniya To Yehi Hai.
Pohuchoon Dare Sarkar Pe Chaaha To Yahi Hai,
Aage Meri Taqdeer Hai, Tamana To Yahi Hai.
Naatkhwañ : Zohaib Ashrafi
Our Pages
Naat-E-Paak
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
- Muhammad Ali Faizi
- Ghulam Noore Mujassam