Musibaton ka kharidar hai khwaja Lyrics | मुसीबतों का खरीदार है ख़्वाजा

Musibaton Ka Kharidar Hai Khwaja Lyrics | मेरी मुसीबतों का खरीदार है ख़्वाजा


Meri Musibaton Ka Kharidar Hai Khwaja

Meri musibaton ka kharidar hai khwaja
Hum saare ghariboñ ka madagar hai khwaja

Ho madadgar hai khwaja
Ho madadgar hai khwaja

Aye kam-naseeb hind ke raja se maañg lo
Qismat meiñ jo nahi hai wo Khwaja se maañg lo.

Ho madadgar hai khwaja
Ho madadgar hai khwaja

Aañsu hamari aañkh se jis dam chhalak gaye
Aisa karam hua ke muqaddar chamak gaye
Khwaja Moinuddiñ ki sakhawat ajeeb hai
Itna ataa kiya hame, gin gin ke thak gaye.

Ho madadgar hai khwaja
Ho madadgar hai khwaja

Chaukhat hai unki phoote naseeboñ ke waste
Bheje gaye hain Khwaja ghareeboñ ke waste.

Ho madadgar hai khwaja
Ho madadgar hai khwaja

Mastane khud hi aate hain masti meiñ jhoomne
Khawaja Moinuddin ki galiyoñ me ghoomne
Adna sa ye namoona hai Khwaja ke ishq ka
Paidal bhi log aate hain Choukhat ko choomne.

Ho madadgar hai khwaja
Ho madadgar hai khwaja

Ham the gunahgar, bahishti bana diya
Jis pe nigah daal di Chishti bana diya

Ho madadgar hai khwaja
Ho madadgar hai khwaja

Chishti charagh jalata hai Khwaja ke desh meiñ
Ghurbat meiñ kaun palta hai Khwaja ke desh meiñ
Satta mein koyi aaye hameñ koyi gham nahi
Khwaja ka raaj chalta hai Khwaja ke desh meiñ

Ho madadgar hai khwaja
Ho madadgar hai khwaja

Shohrat Jo meri pahle thi do haath badh gayi
Jab se karam hua meri auqaat badh gayi

Ho madadgar hai khwaja
Ho madadgar hai khwaja

Apni Nisbat pe koi rang na chadhne deñge
Phool to kya! koi patta na ukhadne deñge
Wo mera daamne hasti na ujadne deñge
Mere Khwaja mera kuchh bhi na bigadne denge

Ho madadgar hai khwaja
Ho madadgar hai khwaja

Toofan meiñ bhi kashti salamat hi rahegi
Us paar Muhammad ﷺ hain, Han…
To is paar hain is paar hai Khwaja.

Dushman ke aage jhuk nahi sakta kabhi wo sar
Jis sar pe tere naam ki dastaar hai Khwaja.

Naam-e-Mueen lete hi gham door ho gaye
Kitna azeem naam asardar hai Khwaja.

Ishq-e-Muinuddin mein bik jayega Junaid
Mujh ko yaqeeñ hai mera kharidar hai khwaja.

Qawwal: Junaid Sultani

 

Our Pages

Hamd-E-Baari-T’aala 

Naat-E-Paak         

Rabiul Awwal Mutalliq Kalam

Manqabat Ghaus e Azam

Manqabat Ghareeb Nawaaz

Shayar

Naat Khwan:

         Qawwali