Mujhay Kis Baat Ka Gham Hay Lyrics

Mujhay Kis Baat Ka Gham Hay Jo Mere Sath Hay Allah Lyrics

Singer: Atiq Ur Rehman


اردو میں پڑھیئے


 

Mujhay Kis Baat Ka Gham Hay Jo Mere Sath Hay Allah
Karam Kya Mujh Pe Yeh Kam Hai Ke Mere Sath Hai Allah

 

Main Jab Bhi Girne Lagta Huñ Woh Mujhko Thaam Leta Hai
Kabhi bebas Jo Ho Jaauñ To Fouran Bhaañp Leta Hai

Mere Har Amal, Har Ek Qaul, Har Ik Raaz Se Waaqif
Meri Shah-Rag Meri Rag-Rag Mere Andaaz Se Waaqif

 

Mujhay Kis Baat Ka Gham Hai Jo Mere Sath Hay Allah
Karam Kya Mujh Pe Yeh Kam Hai Ke Mere Sath Hai Allah

 

Tum Arzoo Ke Diye Jala Kar
Khuda Se Achchhi Ummid Rakhna

Khizaañ Ke Mausam Ki Rukhsati Per
Bahar e Gul Ki Naveed Rakhna

Woh Tera Rab Hai Woh Tera Maula
Usi Se Achchhi Ummid Rakhna

Usi se karna Tu Dil Ki Baateñ
Usi Se Raaz o Niyaz Karna

 

Siyah Tareek Raaton Mein Mujhe Rasta Dikhaata Hai
Ke Uska Hi Sahara To Meri Himmat Badhata Hai

Jo Uski Raah Per Nikaaluñ To Mujhko Aazmata Hai
Mere Is Amal Per Jannat Ki Khushkhabri Sunata Hai

 

Mujhe Kis Baat Ka Gham Hai Jo Mere Sath Hai Allah
Karam Kya Mujh Pe Yeh Kam Hai Ke Mere Sath Hai Allah

 

Zara Sa Jo Pukaruñ To Meri Awaaz Sunta Hai Mera Allah Mere Har Dukh Ka Hi Hamraaz Banta Hai

Zara Se Ashk Ke Badle Mujhe Jo Maaf Karta Hai
Mere Daaman Ke Sare Hi Gunah Jo Saaf Karta Hai

 

Mujhe Kis Baat Ka Gham Hai Jo Mere Sath Hai Allah
Karam Kya Mujh Pe Yeh Kam Hai Ke Mere Sath Hai Allah

 

Mera Jeena Mera Marna Mere Maula Teri Khaatir
Ke Teri Hi Itaa’at Par Ye Meri Jaan Bhi Hazir

Raza Teri Jo Hai Haasil To Phir Sab Kuchh Hi Hai Haasil
Wagarna Phir Ye Qadmoñ Ki Musafat Bhi Hai La-haasil

 

Mujhe Kis Baat Ka Gham Hai Jo Mere Sath Hai Allah
Karam Kya Mujh Pe Yeh Kam Hai Ke Mere Sath Hai Allah

 

Zamane Ke Hawaadis Se Mujhe Tu Phir Bacha Lena
Tera Kamzor Banda Huñ Tu Rahamat Mein Chhupa Lena

Meri Saari Khataaoñ Ko Mere Maula Mita Dena
Wahañ Jannat Ke Baaghoñ Ka Mujhe Waris Bana Dena

 

Mujhe Kis Baat Ka Gham Hai Jo Mere Sath Hai Allah
Karam Kya Mujh Pe Yeh Kam Hai Ke Mere Sath Hai Allah


Urdu, Hindi and English Lyrics

Naat-E-Paak|

Khalid Mahmud ‘Khalid’ Saim Chishti  | Ajmal Sultanpuri Naat  | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan

| Qawwali |

Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |


Related Post :

 ⬇️ مجھے کس بات کا غم ہے ۔ اُردو میں پڑھیے ⬇️

Mujhay Kis Baat Ka Gham Hay Lyrics

1 thought on “Mujhay Kis Baat Ka Gham Hay Lyrics”

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *