Muhammad Mazhare Kaamil Hai Naat Lyrics

Muhammad Mazhare Kaamil Hai
Muhammad Mazhare Kaamil Hai Naat Lyrics

Muhammad Mazhare Kaamil Hai Naat Lyrics

Muhammad Mazhare Kaamil Hai Naat Lyrics

Shayar: Ala Hazrat  | Naat e Paak

Naat Khwan: Owais Raza Qadri, Abdul Habib Attari,

Hadaaiqe Bakhshish Par1

 

 

मुह़म्मद मज़्हरे कामिल है ह़क़ की शाने इ़ज़्ज़त का

नज़र आता है इस कसरत में कुछ अन्दाज़ वह़्‌दत का

Muhammad Mazhare Kaamil Hai Haq Ki Shaane Izzat Ka

Nazar Aata Hai Is Kasrat Me Kuchh Andaaz Wahdat Ka

 

 

यही है अस्ले आलम माद्दए ईजादे ख़ल्क़त का

यहां वह़्‌दत में बरपा है अ़जब हंगामा कसरत का

Yahi Hai Asle Aalam Maadda’ey eejaade Khalqat Ka

Yahan Wahdat Me Barpa Hai Ajab Hungama Kasrat Ka

 

 

गदा भी मुन्तज़िर है ख़ुल्द में नेकों की दा’वत का

ख़ुदा दिन ख़ैर से लाए सख़ी के घर ज़ियाफ़त का

Gada Bhi Muntazir Hai Khuld Me Nekon Ki Daawat Ka

Khuda Din Khair Se Laaye Sakhi Ke Ghar Ziyaafat Ka

 

 

गुनह मग़्फ़ूर, दिल रोशन, ख़ुनुक आंखें, जिगर ठन्डा

तआ़लल्लाह ! माहे त़यबा आलम तेरी त़ल्अ़त का

Gunah Maghfoor Dil Roushn,Khunuk Aankhe, Jigar Thanda

Ta’aa-Lallah ! Maahe Taiba Aalam Teri Tal’at Ka

 

 

न रख्खी गुल के जोशे ह़ुस्न ने गुलशन में जा बाक़ी

चटक्ता फिर कहां ग़ुन्चा कोई बाग़े रिसालत का

Na Rakhkhe Gul Ke Joshe Husn Ne Gulshan Me Ja Baaki

Chatakta Fir Kahan Guncha Koi Baaghe Risalat Ka

 

 

बढ़ा यह सिल्सिला रह़मत का दौरे ज़ुल्फ़े वाला में

तसल्सुल काले कोसों रह गया इस्यां की ज़ुल्मत का

Bada Yeh Silsila Rahmat Ka Doure Zulfe Wala Me

Taslsul Kaale Koson Rah Gaya Isyaan Ki Julmat Ka

 

 

सफ़े मातम उठे, ख़ाली हो ज़िन्दां, टूटें ज़न्जीरें

गुनहगारो ! चलो मौला ने दर खोला है जन्नत का

Safey Maatam Uthe, Khaali Ho Zinda,Toote Zanjeeren

Gunahgaaro ! Chalo Moula Ne Dar Khola Hai Jannat Ka

 

 

सिखाया है येह किस गुस्ताख़ ने आईने को या रब

नज़ारा रूए जानां का बहाना कर के हैरत का

Sikhaya Hai Yeh Kis Gustaakh Ne Aaina Ko Ya Rab

Nazara Roo-E-Jana Ka Bahana Kar Ke Hairat Ka

 

 

इधर उम्मत की ह़सरत पर उधर ख़ालिक़ की रह़मत पर

निराला त़ौर होगा गर्दिशे चश्मे शफ़ाअ़त का

Idhar Ummat Ki Hasrat Par Udhar Khaliq Ki Rahmat Par

Nirala Tour Hoga Gardishe Chashme Shafa’at Ka

 

 

बढ़ीं इस दरजा मौजें कसरते अफ़्ज़ाले वाला की

कनारा मिल गया इस नह्‌र से दरियाए वह़्‌दत का

Badi Is Darja Moujen Kasrate Afzaale Wala Ki

Kanara Mil Gaya Is Nahar Se Dariya-E-Wahdat Ka

 

 

ख़मे ज़ुल्फ़े नबी साजिद है मेह़राबे दो अब्रू में

कि या रब तू ही वाली है सियह काराने उम्मत का

Khame Zulfe Nabi Saajid Hai Mehraabe Do Abroo Me

Ki Ya Rab Tu He Waali Hai Siyaah Kaarane Ummat Ka

 

 

मदद ऐ जोशिशे गिर्या बहा दे कोह और सह़रा

नज़र आ जाए जल्वा बे ह़िजाब उस पाक तुरबत का

Madad Ey Joshishe Girya Baha De Koh Aur Sahra

Nazar Aa Jaaye Jalwa Be Hejaab Us Paak Turbat Ka

 

 

हुए कम-ख़्वाबिये हिज्रां में सातों पर्दे कम-ख़्वाबी

तसव्वुर खूब बांधा आंखों ने अस्तारे तुरबत का

Hue Kam-Khawabiye Hizran Me Saato(N) Parde Kam Khwabi

Tasavvur Khoob Baandha Aankon Ne Astaare Turbat Ka

 

 

यक़ीं है वक़्ते जल्वा लग्ज़िशें पाए निगह पाए

मिले जोशे सफ़ाए जिस्म से पा बोस हज़रत का

Yakin Hai Waqte Jalwa Lagzishe Paaye Nigah Paaye

Mile Joshe Safa-E-Jism Se Paa Bos Hazrat Ka

 

 

यहां छिड़का नमक वां मर्‌हमे काफ़ूर हाथ आया

दिले ज़ख़्मी नमक परवर्दा है किस की मलाह़त का

Yahan Chhidak Namak Waa(n) Marhame Kaafoor Haath Aaya

Diley Zakhmi Namak Parwarda Hai Kis Ki Malahat Ka

 

 

इलाही मुन्तज़िर हूं वोह ख़िरामे नाज़ फ़रमाएं

बिछा रख्खा है फ़र्श आंखों ने कम-ख़्वाबे बसारत का

Ilaahi Muntazir Hoon Woh Khiraame Naaz Farmayen

Bichha Rakhkha Hai Farsh Aankho Ne Kam Khwabe Basaarat Ka

 

 

न हो आक़ा को सज्दा आदमो यूसुफ़ को सज्दा हो

मगर सद्दे ज़राएअ़ दाब है अपनी शरीअ़त का

Na Ho Aaqa Ko Sajda Aadmo Yousuf Ko Sajda Ho

Magar Sadde Zara-E-Aa Daab Hai Apne Shari’at Ka

 

 

ज़बाने ख़ार किस किस दर्द से उन को सुनाती है

 तड़पना दश्ते त़यबा में जिगर अफ़्गार फ़ुरक़त का

Zabane Khaar Kis Kis Dard Se Unko Sunaati Hai

Tadapna Dashte Taiba Me Jigar Afgaar Furqat Ka

 

 

सिरहाने उन के बिस्मिल के यह बेताबी का मातम है

शहे कौसर तरह़्ह़म तिश्ना जाता है ज़ियारत का

Sirhaane Unke Bismil Key yeh Betaabi Ka Maatam Hai

Shahe Kousar Tarh’hum Tishna Jaata Hai Ziyaarat Ka

 

 

जिन्हें मरक़द में ता ह़श्र उम्मती कह कर पुकारोगे

हमें भी याद कर लो उन में सदक़ा अपनी रहमत का

Jinhe Marqad Me Taa Hashr Ummati Kah Kar Pukaroge

Hame Bhi Yaad Kar Lo Un Me Sadqa Apni Rahamat Ka

 

 

वोह चमकें बिज्लियां या रब तजल्लीहाए जानां से

कि चश्मे तूर का सुरमा हो दिल मुश्ताक़ रूयत का

Woh Chamken Bijliyan Ya Rab Tajalli-Haa-e -Jaana Se

Ki Chashme Toor Ka Surma Ho Dil Mushtaq Rooyat Ka

 

 

रज़ा ए ख़स्ता ! जोशे बह़्‌रे इ़स्यां से न घबराना

कभी तो हाथ आ जाएगा दामन उन की रहमत का

RAZA-E-Khasta ! Joshe Bahre Isyaan Se Na Ghabrana

Kabhi To Haath Aa Jaayega Daaman Unki Rahmat Ka

 

 

Hindi And English Naat Lyrics

Hindi And English Naat Lyrics


| Naat-E-Paak |  Ajmal Sultanpuri Naat  | Ala Hazrat NaatAkhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan | Khalid Mahmud Khalid |

| Qawwali | Sabri Brothers || Rahat Fateh Ali Khan | 

| Sufi Song  | Khailash Kher |     

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *