Meri Dastan e Hasrat Wo Suna Suna Ke Roe Sabri Brother

Meri Dastan e Hasrat Wo Suna Suna Ke Roye Qawwali Lyrics

Qawwal: Sabri Brothers

Shayar: Saifuddin ‘SAIF’


हिन्दी में लिरिक्स के लिए यहां क्लिक करें


Qawwali Sun’ne ke liye Yahañ click kijiye


Aye Dost Teri Aañkh, jo nam hai to Mujhe Kya!

Kya maine kaha tha, Tu Zamaane se Mila kar

Ab tu hi Sazaa-waar e Sitam hai to Mujhe Kya!

Unke Laboñ pe aaj Mohabbat ki Baat hai

Allah Khair ho, ye Nayi Waardaat hai

 

Kyuñ ke,

Meri Dastan e Hasrat wo suna suna ke Roye

 

Aaa..
Sab ke Hothoñ pe Tabassum tha Mere Qatl ke baad

Jaane kya soch ke rota raha Qatil Tanha!

Meri Daastan e Hasrat wo suna-suna ke Roye

 

Wo sataa kar Mujhe, kahte hain ke Gham hota hai
Ye Sitam aur bhi Baalaa-e-Sitam hota hai

Meri Daastan-e Hasrat wo suna suna ke Roye

Mujhe Aazmaane waale Mujhe aazmaa ke ro-e

 

Koi aisa Ahl-e-Dil ho, ke Fasaana-e Mohabbat

Maiñ Use suna ke Ro-ūñ, wo Mujhe suna ke Ro-e

Jo sunaayi Anjuman meñ Shab-e Gham ki Aap beeti

Kayi ro ke Muskura-e, Kayi Muskura ke roe

Mujhe Aazmaane waale Mujhe aazmaa ke ro-e

Meri Daastan-e Hasrat wo suna suna ke Roye

Aaa..
Mere paas se Guzar kar, Mera Haal tak na poochha

Mere paas se Guzar kar..

 

Guzar gaye Wo Nigaah-e karam bachaay hue

Hum is Ummeed me baithe the Koi pehchaane

Mere paas se Guzar kar, Mera Haal tak na poochha

Main ye kaise maan jaauñ ke Wo Door jaa ke roe

 

Aaa…
Baith jaata hooñ jahañ chha-oñ Ghani hoti hai

Haye! Kya Cheez ghareeb-ul-Watani hoti hai

Main hooñ be-watan musafir, Mera Naam Be-basi hai

Mera koi bhi nahi haI, jo Gale laga ke roe

Aaa….
Kahiñ SAIF Raaste mein Wo mileñ to unse kahna

Maiñ udaas hooñ Akela, Mere paas aa ke ro-e
——————————–

Neeche Likhe ash’aar Qawwali Ka Hissa nahi haiñ

Meri Aarzoo ki Duniya Dil e Naa-tawaañ ki Hasrat

Jise kho ke Shadmaañ the Use aaj paa ke ro-e

Teri Be-wafaayiyoñ par, Teri Kaj-Adaayiyoñ par

Kabhi Sar jhuka ke ro-e, Kabhi Muñh Chhupa ke ro-e


More Qawwalis

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *