Mere Khoon e Aarzoo Aziz Mian Lyrics

Mere Khoon e Aarzoo Ko Lyrics.
Aziz Mian Qawwali, मेरे ख़ून ए आरज़ू को वोह समझ रहे हैं…


Ye sitare hain motiye ke phool
Kis ki maala fiza mein toot gayi,

Chaand, teeka hai kis ke maathe ka?
Raat kis ka suhag loot gayi.

 

Sitamgari ke tareeqe sikhaye jaate hain
Haseen bante nahi hain banaye jaate hain,

Hamari, is bazm mein us buzm mein hai farq itna
Wahan chirag, yahan dil jalaaye jaate hain.

 

Mere Khoon e Aarzoo Ko Lyrics.

 

Mere khoon e arzu ko woh samajh rahe hain pani
Unheñ hosh tak na aaya, meri lut gayi jawani.

 

Abhi tak woh galiyañ, haseeñ hain jawaañ hain
Jahan hum ne apni jawani luta di

Khirad ko yeh zid thi na lut’ti jawani
Is hi zidd pe main ne jawani luta di

meri lut gayi jawani..
meri lut gayi jawani..

 

Kaha jo maine un se, maiñ ne Jawani luta di,
jawani luta di, jawani luta di, jawani luta di,

Woh bole mohabbat mein lut jaate hain deen o eman
Bada teer mara jawani luta di.

meri lut gayi jawani..
meri lut gayi jawani..

 

Shabab e umr jata hai, khizan kahti hai aane ko
Jawani ruthi jaati hai, kise bhejooñ manane ko.

meri lut gayi jawani..
meri lut gayi jawani..

 

Peeri mein kham qamar mein nahi, zuaf say qamar
Maiñ jhuk ke dhooñdta hoon jawani kidhar gayi.

meri lut gayi jawani..
meri lut gayi jawani..

 

Mein ne pehla hi kaha tha ke yeh har ada hai faani
Mein ne pehla hi kaha tha ke yeh har ada hai faani

ke yeh har ada hai faani, faani..
ke yeh har ada hai faani, faani..

 

Aray! kuch bhi nahi siwaye musalsal fareib ke
Dekha hai zindagi ko nihayat qareeb se.

ke yeh har ada hai faani, faani..
ke yeh har ada hai faani, faani..

 

Oonche ooñche makaan the jin ke
Aaj woh tang gor mein hain pade.

ke yeh har ada hai faani, faani..
ke yeh har ada hai faani, faani..

 

Naam rahe ga allah ka

ke yeh har ada hai faani, faani..
ke yeh har ada hai faani..

 

Dil badnaseeb tu nt Meri baat hi na mani
Dil badnaseeb tu nt Meri baat hi na mani

 

Na mita tu thokron se, yeh nishan e qabr zalim,
Aray! yehi akhri bachi hai, mere hijr ki nishani.

 

Kabhi lab pe aah o naale, kabhi dil mein gham ke chhaale,
Ke bada hi sakht nikla, ye maqam e zindagani.

ye maqam e zinde. zindagani…
ye maqam e zinde. zindagani…

 

Zindagi kya hai?
Anasir ka zahoor e tarteeb.
Aur maut kya hai?
In hi ajza ka pareeshañ hona.

ye maqam e zinde. zindagani…
ye maqam e zinde. zindagani…

 

Zindagi kya hai?
Zindagi kya kisi muflis ki qaba hai jis mein,
Har ghadi dard ke paiwand laga karte hain?

Aray! zindagi kya hai?
khanakte huay sikkoñ ki sada
Aur maut kiya hai?
ke bhari jaib ka khali hona?

ye maqam e zinde. zindagani…
ye maqam e zinde. zindagani…

 

Qabr ke chaukhte khaali hain, inhen bhi dekho
Jaane kab konsi tasweer saja di jaye.

ye maqam e zinde. zindagani…
ye maqam e zinde. zindagani…

 

Dard ke rang mein kya dhali zindagi
Ban gayi mustaqil be kali zindagi,
Tum chale ho to isko bhi lete chalo
Mere kis kaam ki khokhli zindagi.

Maiñ gham e zindagi mein tadapta raha
Muskarati rahi manchali zindagi,
Tehni-tehni pe ashkoñ ke ghunche khile
Dard ki rut mein phooli phali zindagi.

Uff woh mausam, judai ka tapta hua
Dhoop kya, chhaoñ mein bhi chali zindagi,
Har qadam par nayi ek thokar lagi
Saath mere jahañ tak chali zindagi.

Ho ke majboor phir Naaz kehna pada

ye maqam e zinde. zindagani…
ye maqam e zinde. zindagani…

 

Namrood nahi, shaddad nahi
Dunya mein qaum e aad nahi,
Kiya luut ki qaumeiñ yaad nahin
Kiya nooh ka tufan bhool gaye.

Muñh dekh liya aayeene mein
Daagh na dekha seene mein,
Afsos hai aise jeene mein
Anjam ko nadañ bhool gaye.

Kyoñ yaad se ghafil hote ho
Kyoñ umr gunah mein khote ho
Kyoñ sheesh mehal mein sote ho
Kiya gor e ghareebañ bhool gaye?

ye maqam e zinde. zindagani…
ye maqam e zinde. zindagani…

Baithe Hain hum to pehle hi
Aañkhoñ mein dhool daale,
Ay roo e yaar tu ne parde fizool daale.
Nairangi e zamana turbat se koi poochhe,
Baazoñ ne khaak dali, baazoñ ne phool dale.

ye maqam e zinde. zindagani…
ye maqam e zinde. zindagani…

Aray! zindagi, zindagi kya hai?
Zindagi azdaad ka paimaan e lutf o ittefaq
Ek hum-ahangi, miyan e jazba e wasl o firaq.
Ek atal meeshak mabain e jamood o inshiqaq
Khair o shar ka sulho nama, shammo sadsar ka wifaq.

Zindagi kiya hai?

Zindagi yusuf zulaikha, qais laila laldaman
Eid ki meh, chaudvi ki raat, chauthi ki dulhan

Ik khanakti lab kushai, ek chubukta baañkpan
Rang, sagar, raag, mandar, roop, mala, phool, ban

Jis ki karn o hujra e qudrat mein rakhwali hui
Titlion ki rasmasati chhaoñ mein paali hui

 

Zindagi kya hai?
Zindagi baagh e shrisha, rang, deepak, sohini
But-taraashi, raqs, mauseeqi, khitaabat, shayiri.

Pankhdi, titli, sanobar, doob, nasri, chandni
Artvaani, aasmani, zaafrani, zindagi
Lajwanti, madbhari, komal, suhani zindagi.

 

Zindagi kiya hai?

Zindagi mudte hua pattoñ pe boondoñ ki khanank
Subah e sarma ki kiran, sham e baharan ki dhanak.

Bol, titli ki udaan, awaaz, kounde ki lapak
Kookti birkhaa mein sarangi ke taaroñ ki lachak.

Shehr e tan mein phool waloñ ki gali hai zindagi
Aur gardan e aafaaq mein champa kali hai zindagi.

 

Aur maut?
Naam zisht e maut se uthta hai seene mein dhuan
Farq e hasti per kadak uthti hai dehshat ki kamaañ

Dil pe rakh deta hai khauf e marg woh baar e giraañ
Bolne lagti haiñ sehmi zindagi ki haddyiañ

Aray! koi narm awaz, koi dastaañ bhaati nahi
Aray! maut yaad aajaye to raatoñ ko neeñd aati nahi.

ye maqam e zinde. zindagani…
ye maqam e zinde. zindagani…

Ik roz soo e gor e gharibañ mera hua guzar

Paaoñ se takra gaya mere kisi murde ka sar.
Lagte hi thokar yeh khopdi ne dee sada.

Tu kis qadar maghroor hai, tu dekh kar chal raasta.
Mein hua hairan, us khopdi se youñ kaha.

Kaun hai tu? naam kya hai? Kuch pata apna bata.
Sun ke phir meri sada, khopdi ne youñ kaha

Ke, Mein bhi tha ik badshah dunya mein mera raaj tha
Mere qabze mein thi dunya, mere sar par taj tha

 

Ay Aziz!
sab se bada lashkar mera, Sab se zyada maal or zar
Kaate jaate the ishare par mere lakhoñ ke sar.

Mein khuda e waqt tha, jaari mera farman tha
Maut ko bhoola tha main, us ka na mujh ko dhyan tha.

Lekin maut jab aayi mila matti mein woh sara ghuroor
Maal o zar ko chod ker aana pada duniya se door.

Haan isi sar mein bhara tha shahinshahi ka ghuroor
Ab wohi sar thokroñ se ho gaya hai chaknachoor.

ye maqam e zinde. zindagani…
ye maqam e zinde. zindagani…

Ay dil, chal shehr e khamoshan ek baar
Main dikhauñ tujhe murdoñ ke mazaroñ ki qataar

Ay dil, yeh wohi hain
jinheñ mahloñ mein neend aati thi
Har pari khawab mein aati thi aur jaati thi.

Ay dil, yeh wohi hain
inheñ na to mandar ki, na masjid ki khabar hoti thi
Narm bistar par sada umr basar hoti thi.

Ay dil yeh wohi hain
kisi ko chaaku se mara kisi go goli se
Kisi ki legaye dulhan utha ke doli se.

Ay dil pooch, pooch in se
Kya hua woh maal jo tumne joda tha
Aray! maal to maal, yeh kapde bhi nahi laye hain.
Woh bhi auroñ ke pahinne ko chod aaye hain.

ye maqam e zinde. zindagani…
ye maqam e zinde. zindagani…

Aray! jab tak dam hai tere seene mein
Yeh makañ tera hai, yeh makañ tera hai
Warna ghangor andhere mein tera dera hai.

Aur, yeh tere ghar wale tujhe inaam kya kum deñge
Teri zameen, daulat aapas mein baañt leñge.

Aray! jin azizoñ ke liye tu ne is dunya mein dhan ko joda hai
Unhi ne la ke tujhko andhere mein tujhko chhoda hai.

ye maqam e zinde. zindagani…
ye maqam e zinde. zindagani…

Aray! zindagani kya hai? ja kar karbala waloñ se poonchh
Sarwar e kaun o makañ ki goud ke palon se poonchh.

Zindagani ke liye lakhoñ ke aage dat gaye
Eik eik kar ke sar e maidañ bahattar kat gaye.

Deen par qurban akbar ki jawani hogayi
Surkh-Roo lekin fiza e zindagani hogayi.

Hazrat e Abbas ke bazoo agarche kat gaye
Zulm ke badal fiza e zindagi se chhat gaye.

Pyaas ke maaroñ ki tapti raet par betaabiyañ
Likh rahi hain zindagani ke liye shadabiyañ.

Dekh kar bebas asghar ke gale mein teer ko
Zindagi kuchh aur bhi dilkash lagi shabbir ko.

Zer e khanjar jab ada ki Ibn e Haider ne namaz
Sar kata kar aur bhi kuchh ho gaye woh sarfaraz

Ghazioñ ke khoon se phulwari wafa ki khil gayi
Zindagani ko masaib se rihayi mil gayi.

Seh ke sadme ek musalsal shadmani paa gaye
Baar ke jaaneñ hayat e javidani paa gaye

Aur naizay ki ani pe charh kar yeh farma gaye.

ye maqam e zinde. zindagani…
ye maqam e zinde. zindagani…

 

Ke bada hi sakht nikla ye maqam e zindagani
Ke bada hi sakht nikla ye maqam e zindaganii

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *