Kya Karega Wo Bhala Leke Khudaayi Khwaja Lyrics

Kya Karega Wo Bhala Leke Khudaayi Khwaja Lyrics

Qawwal : Irshad Sabri

 

Yaqeen Rakiye Museebat Meiñ Kaam Aayegi
Dua Faqeer Ki Khali Kabhi Na Jaayegi.

 

Dil Meiñ Basa Ke Khwaja Ko Ajmer Maiñ Chala
Duniya Se Maine Tod Diya Apna Silsila

Khwaja Ke Ishq Meiñ Mujhe Batlaauñ Kya Mila
Murshid Mile, Rasool Mile, Aur Khuda Mila.

 

Kya Karega Wo Bhala Leke Khudaayi Khwaja
Haañ Khudaayi Khwaja ..

 

Kya Karega Wo Bhala Leke Khudaayi Khwaja
Jis Ko Mil Jaye Tere Dar Ki Gadaayi Khwaja
Haañ Gadaayi Khwaja.

 

Ab Kisi Dar Pe Tabeeyat Nahi Lagti Apni
Ho Gayi Dar Pe Tere Jab Se Rasaayi Khwaja
Haañ Rasaayi Khwaja.

 

Kyuñ Na Maiñ Fard-e Aqeedat Se Jhukaauñ Sar Ko
Aap Ke Dar Pe To Jhukti Hai Khudaayi Khwaja
Ye Khudaayi Khwaja.

 

Jab Bhi Aaya Gham-e Duniyañ Ka Sataaya Khwaja
Tumne Bigdi Hui Har Baat Banaayi Khwaja
Haañ Banaayi Khwaja.

 

Har Taraf Jalwa Tumhara Hi Nazar Aata Hai
Naaz Ne Jab Bhi Nazar Apni Uthaayi Khwaja
Haañ Uthaayi Khwaja.

 

Har Taraf Jalwa Tumhara ..
Har Taraf Jalwa Tumhara ..

 

Kaabe Se, Butkade Se, Kabhi Bazm-e Jaam Se
Aawaaz De Raha Huñ Tumheñ Har Maqaam Se

 

Har Taraf Jalwa Tumhara ..
Har Taraf Jalwa Tumhara

 

Idhar Barq-e Tabaa Rakh Di
Udhar Barq-e Tabaa Rakh Di
Mohabbat Ne Meri Hasti
Ghazab Ke Darmiyaañ Rakh Di.

Ye Kisne Shaakh-e Gul Laakar
Kafas Ke Darmiyañ Rakh Di
Ki Maine Shauq-e Gul-bosi Meiñ
Kaañto Par Zabaañ Rakh Di.

Jibeeñ Kaabe Meiñ Rakh Di
Ya Sar-e Koo-e Butaañ Rakh di
Hamari Cheez Thi Hamne
Jahan Chaaha Wahañ Rakh Di.

 

Har Taraf Jalwa Tumhara ..
Har Taraf Jalwa Tumhara ..

 

Idhar Barq-e Tabaa Rakh Di
Udhar Barq-e Tabaa Rakh Di
Mohabbat Ne Meri Hasti
Ghazab Ke Darmiyaañ Rakh Di.

Ye Kisne Shaakh-e Gul Laakar Kafas Ke Darmiyañ Rakh Di
Ki Maine Shauq-e Gul-bosi Meiñ Kaañto Par Zabaañ Rakh Di.

Mere Seene Meiñ Dil Rakha
Mere Muñh Meiñ Zubaañ Rakh Di
Jahañ Rakhne Ki Jo Thi Cheez
Qudrat Ne Wahañ Rakh Di.

Jibeeñ Kaabe Meiñ Rakh Di
Ya Sar-e Koo-e Butaañ Rakh Di
Hamari Cheez Thi Hamne
Jahañ Chaaha Wahañ Rakh Di.

 

Har Taraf Jalwa Tumhara ..
Har Taraf Jalwa Tumhara ..

 

Nazar Aata Hai Har Janib Nazaara
Mere Khwaja Ka

Nigaaheñ Dekhti Haiñ Aaj Jalwa
Mere Khwaja Ka

Dil-e Betaab Hai Deewana Aisa
Mere Khwaja Ka

Qasam Allah Ki Ye Hai Karishma
Mere Khwaja Ka

Jise Dekho Wohi Hai Dil Se Shaida
Mere Khwaja Ka.

 

Har Taraf Jalwa Tumhara ..
Har Taraf Jalwa Tumhara ..

 

Jab Se Tere Karam Ka Mujhe Aasra Mila
Manzil Ke Bhatke Raahi Ko Jaise Pata Mila
Khoya Hua Tha Maiñ To Zamaane Ki Bheed Meiñ
Tu Kya Mila Nijaat Ka Ek Raasta Mila.

 

Har Taraf Jalwa Tumhara ..
Har Taraf Jalwa Tumhara ..

 

Tu Ne Karam Kiya To Mujhe Zindagi Mili
Tu Kya Mila Ke Dono Jahañ Ki Khushi Mili
Is Raushni Se Badh Ke Koi Raushni Nahiñ
Teri Nigaah Se Jo Hame Raushni Mili.

 

Har Taraf Jalwa Tumhara ..
Har Taraf Jalwa Tumhara ..

 

Zaalim Pe Tu Ne Waaqayi Ahsaan Kar Diya
Jalwa Dikhaya Aisa Ke Hairaan Kar Diya
Ye Waaqaya Hai Ab Bhi Har Ik Zabaan Par
Jai Paal Ko Bhi Saahib-e Eemaan Kar Diya.

 

Har Taraf Jalwa Tumhara ..
Har Taraf Jalwa Tumhara ..

 

Ai Mere Khwaja,

Hotoñ Pe Mere Zikr Yahi Sub’ho Shaam Hai
Mere Liye Wazeefa Hi Khwaja Ka Naam Hai.

 

Ye Inaayat Hai Peer Ki ..
Ye Inaayat Hai Peer Ki ..

Ye Hai Khwaja Ki Inaayat ..
Ye Hai Khwaja Ki Inaayat ..

 

Ai Mere Khwaja,
Jab Se Rakha Hai Peer Ne Sar Pe Karam Ka Haath
Banti Hi Jaa Rahi Hai Meri Bigdi Saari Baat
Mujh Ko Ghamoñ Se Dekhiye Aazaad Kar Diya
Peerañ Ne Zindagi Ko Meri Shaad Kar Diya.

 

Ye Hai Khwaja Ki Inaayat ..
Ye Hai Khwaja Ki Inaayat ..

 

Nisbat Hui Hai Jab Se Mujhe Mere Peer Se
Daulat Mili Eemañ Ki Mujhe Mere Peer Se
Ye Baat Meri Ghaur Se Sun Le Ye Zamaana
Qadmoñ Meiñ Pada Mere Duniyañ Ka Khazana.

 

Ye Hai Khwaja Ki Inaayat ..
Ye Hai Khwaja Ki Inaayat ..

 

Mushil Balaa-e Gardish o Aafat Ka Khauf Kya
Mujh Ko Bhala Ho Koi Museebat Ka Khauf Kya
Takraa Ke Mujh Se Mushileñ Sab Choor Ho Gayeeñ
Aafat Tamaam Sar Se Mere Door Ho Gayeeñ.

 

Ye Hai Khwaja Ki Inaayat ..
Ye Hai Khwaja Ki Inaayat ..

 

Kya Karega Wo Bhala Leke Khudaayi Khwaja
Ye Khudaayi Khwaja

Jis Ko Mil Jaaye Tere Dar Ki Gadaayi Khwaja
Haañ Gadaayi Khwaja ..

 

More Manqabat Ghareeb Nawaz

 

  • Comment में राय दीजिए
  • Share कीजिए

Hindi And English lyrics

Qawwali |

Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ Ghous Muhammad Nasir

Naat-E-Paak|

Khalid Mahmud ‘Khalid’ Ajmal Sultanpuri Naat  | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *