Koi Saleeqa Hai Aarzu Ka Lyrics

Koi Saleeqa Hai Aarzu Ka Naat e Paak Full Lyrics 

Kalaam-e Khalid Mahmud ‘Khalid’  Naqshbandi 

Koi saleeqa hai Aarzu ka Naat Lyrics
Koi saleeqa hai Aarzu ka lyrics

हिन्दी लिरिक्स

  اردو لرکس

 

Koi Saleeqa Hai Aarzu Ka
Na Bandagi Meri Bandagi Hai

Ye Sab Tumhara Karam Hai Aaqa
Ke Baat Ab Tak Bani Hui Hai

 

Koi Saleeqa Hai Aarzu Ka ..

 

Kisi Ka Ehsaan Kyuñ Uthaayeñ
Kisi Ko Haalat Kyuñ Bataayeñ

Tumhi Se Maañgeñge Tum Hi Doge
Tumhare Dar Se Hi Lau Lagi Hai

 

Koi Saleeqa Hai Aarzu Ka ..

 

Tajalliyoñ Ke Kafeel Tum Ho
Muraad e Qalb e Khaleel Tum Ho

Khuda Ki Raushan Daleel Tum Ho
Ye Sab Tumhari Hi Raushni Hai

 

Koi Saleeqa Hai Aarzu Ka ..

 

Tumhi Ho Rooh e Rawaan e Hasti
Sukooñ Nazar Ka Diloñ Ki Masti

Hai Do Jahañ Ki Bahaar Tum Se
Tumhi Se Phooloñ Meiñ Taazgi Hai

 

Koi Saleeqa Hai Aarzoo Ka ..

 

Sha’oor o Fikr o Nazar Ke Daawe
Had e Ta’ayyun Se Badh Na Paaye

Na Chhu Sake Un Bulandiyoñ Ko
Jahañ Maqaam e Muhammadi Hai

 

Koi Saleeqa Hai Aarzoo Ka ..

 

Nazar Nazar Rahmate Saraapa
Ada Ada Ghairat e Maseeha

Zameer e Murdah Bhi Jee Uthe Haiñ
Jidhar Tumhaari Nazar Uthi Hai

 

Koi Saleeqa Hai Aarzoo Ka ..

 

Amal ki Mere Asaas Kya Hai
BaJuz Nidamat Ke, Paas Kiya Hai

Rahe Salaamat Tumhari Nisbat
Mera To Ek Aasra Yahi Hai

 

Koi Saleeqa Hai Aarzoo Ka..

 

A’taa Kiya Mujh Ko Dard e Ulfat
Kahañ Thi Ye PurKhata Ki Qismat

Maiñ Is Karam Ke Kahañ Tha Qaabil
Huzoor Ki Banda Parwari Hai

 

Koi Saleeqa Hai Aarzoo Ka..

 

Unhi Ke Dar Se Khuda Mila Hai
Unhi Se Uska Pata Chala Hai

Wo Aayina Jo Khuda Numa Hai
Jamaal e Husn e Huzur Hi Hai

 

Koi Saleeqa Hai Aarzoo Ka..

 

Basheer Kahiye Nazeer Kahiye
Unhe Siraaj e Muneer Kahiye

Jo Sar Ba Sar Hai Kalaam e Rabbi
Woh Mere Aaqa Ki Zindagi Hai

 

Koi Saleeqa Hai Aarzoo Ka..

 

Sana’a e Mahboob e Haq Ke Qurbaañ
Surur e Jaañ Ka Yahi Hai Unwaañ

Har Ek Masti Fana Badaamaañ
Ye Kaif Hi Kaif e Sarmadi Hai

 

Koi Saleeqa Hai Aarzoo Ka..

 

Hum Apne Aamaal Jaante Haiñ
Hum Apni Nisbat Se Kuchh Nahiñ Haiñ

Tumhare Dar Ki Azeem Nisbat
Mataa e Azmat Bani Hui Hai

 

Koi Saleeka Hai Aarzu Ka..

 

Hai Kaaba Bhi Marja e Khalaayaq
Bahut Numaaya Haiñ Ye Haqaayaq

Magar Jo Maqsood e Aashiqui Hai
Huzoor Ke Dar Ki Haazri Hai

 

Koi Saleeka Hai Aarzoo Ka..

 

Yahi Hai Khalid Asaas e Rahmat
Yahi Hai Khalid Binaa-e-Azmat

Nabi Ka Irfan Zindagi Hai
Nabi Ka Irfan Bandagi Hai

 

Koi Saleeqa Hai Aarzu Ka
Na Bandagi Meri Bandagi Hai

Ye Sab Tumhara Karam Hai Aaqa
Ke Baat Ab Tak Bani Hui Hai

 

Shayar: Khalid Mahmud Khalid
Naat Khwañ: Khurshid Ahmad, Owais Qadri, Azam Waheed and many more

  • Comment में राय दीजिए
  • Share कीजिए

Hindi And English lyrics

Naat-E-Paak|

Khalid Mahmud ‘Khalid’ Ajmal Sultanpuri Naat  | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan

 

Qawwali |

Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ |Nazir Ejaz Faridi |  Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |

1 thought on “Koi Saleeqa Hai Aarzu Ka Lyrics”

  1. Pingback: Koi Saliqa Hai Aarzu Ka Hindi Lyrics Khalid Mahmud Khalid

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *