Khwaja Khwaja Bol Faqeera Qawwali Lyrics

Khwaja Khwaja Bol Faqeera Qawwali Lyrics

Qawwal : Iqbal Afzal Sabri

 

हिन्दी लिरिक्स

Farishte Rashk Kareñ Haiñ Tumhari Hasti Par,
Tamam Shahar Haiñ Qurbañ Tumhari Basti Par.

 

Sahab Ji Sultan Ji Tum Bade Ghareeb Nawaz
Apni Karke Raakhiyo So Baañh Pakde Ki Laaj.

 

Sansar Har Ko Pooje, Gur Ko Jagat Saraahe,

Kaabe Meiñ Koi Dhooñdhe, Kaashi Meiñ Koi Chaahe,

Guiyyaañ Maiñ Apne Pee Ke Payyañ Paduñ Na Kaahe,

Har Qaum o Millate Ra Deene Ba Qibla gaahe,

Man Qibla Raast Kardam, Bar Samt Kaj Kulaahe.

 

Zikr e Khuda Ki Dil Ke Andar Amrit Vaani Ghol

 

Zikr e Khuda Ki Dil Ke Andar Amrit Vaani Ghol,
Naam e Nabi Ki Sumiran Karke Ghat Ke Parde Khol.

 

Khwaja Khwaja Bol Faqeera.. Khwaja Khwaja Bol ..
Khwaja Khwaja Bol Faqeera.. Khwaja Khwaja Bol ..

 

Khwaja Piya Ke Naam Ki Sumiran
Rab Se Turat Milaaye
Saañche Gur Ka Baalka Mare
Na Maara Jaaye.

 

Khwaja Khwaja Bol Faqeera.. Khwaja Khwaja Bol ..
Khwaja Khwaja Bol Faqeera.. Khwaja Khwaja Bol ..

 

Neze Taar o Neze Chob o Neze Post
Az Kuja Mee Aayadeeñ Aawaaz-e Dost,

Khushk Lakdi, Khushk Taar o Khushk Post
Phir Kahañ Se Aa Rahi Aawaaze Dost.

 

Khwaja Khwaja Bol Faqeera.. Khwaja Khwaja Bol ..

 

Khwaja Khwaja Bol Faqeera..
Khwaja Khwaja Bol Faqeera..

 

Dhun Le Dhuniye Apni Dhun
Parayi Dhuni Ka Paap Na Bun,
Teri Ruyi Meiñ Chaar Binaule
Sabse Pahle Unko Chun.

 

Waliyan Ke Maharaj Haiñ Khwaja
Sab Waliyan Se Nyare,
Dekh Ke Khwaja Rutba Tera
Shaikh Fareed Pukare.

 

Khwaja Khwaja Bol Faqeera..
Khwaja Khwaja Bol Faqeera..

 

Isi Naam Ki Loot Hai, Looti Jaaye To Loot
Ant Kaal Pachhtaayega, Jab Pran Jaayeñge Chhoot.

 

Khwaja Khwaja Bol Faqeera..
Khwaja Khwaja Bol Faqeera..

 

Agar Yaqeeñ Na Ho To Dekh Lo Sab Padh Kar Ke
Kitab-e Chisht Ke Pahle Safei Pe Likha Hai.

 

Khwaja Khwaja Bol Faqeera..
Khwaja Khwaja Bol Faqeera..

 

Chisht Nagar Meiñ Dhoom Machi Hai
Khwaja Piya Ki Aaj Chhati Hai.

 

Chisht Nagar Meiñ Oho Nagar Meiñ ..
Chisht Nagar Meiñ Oho Nagar Meiñ ..

 

Chisht Nagar Meiñ Dhoom Machi Hai
Khwaja Piya Ki Aaj Chhati Hai.

 

Khwaja Piya Ki Aaj Chhati Hai ..
Khwaja Piya Ki Aaj Chhati Hai ..

 

Ummeedoñ Ka Phool Khilega
Jo Maañgo Ke Wahi Milega.

 

Khwaja Piya Ki Aaj Chhati Hai ..
Khwaja Piya Ki Aaj Chhati Hai ..

 

Dekho To Bhaag Jaage Haiñ Bhaarat Ki Khaak Ke
Arsh-e Bareeñ Se Dekheñ Farishte Bhi Jhaañk Ke.

 

Khwaja Piya Ki Aaj Chhati Hai ..
Khwaja Piya Ki Aaj Chhati Hai ..

 

Dekho To Bhaag Jaage Hain Bhaarat Ki Khaak Ke
Arsh-e Bareeñ Se Dekheñ Farishte Bhi Jhaañk Ke.

 

Aaj Ki Ratiyañ Mela Laga Hai Khwaja Piya Ke Dwaare
Chaañd, Suraj Aakaash Ke Taare Jhaañkeñ Nain Pasaare

 

Khwaja Piya Ki Aaj Chhati Hai ..
Khwaja Piya Ki Aaj Chhati Hai ..

 

Arsh Par Ratjaga Ho Raha Hai
Farsh Pe Jashn-e Khwaja Manao,
Aao Sakhiyo Mere Sang chal kar
Rang Khwaja Ke Añgan Meiñ Gaao.

 

Khwaja Piya Ki Aaj Chhati Hai ..
Khwaja Piya Ki Aaj Chhati Hai ..

 

Khwaja Piya Ka Sadqa Lutaayeñ Fatima Bibi Zahra
Raabiya Basri Gooñdh Ke Laayiñ Khuld-e Bareeñ Se Sehra.

 

Khwaja Piya Ki Aaj Chhati Hai ..
Khwaja Piya Ki Aaj Chhati Hai ..

 

Jisko Na Yaqeeñ Aaye,
Ajmer Meiñ Dekh Aaye.

 

Khwaja Piya Ki Aaj Chhati Hai ..
Khwaja Piya Ki Aaj Chhati Hai ..

 

Zikr-e Khuda Ki Dil Ke Bheetar Amrit Vaani Ghol
Naam-e Nabi Ki Sumiran Karke Ghat Ke Parde Khol.

Khwaja Khwaja Bol Faqeera.. Khwaja Khwaja Bol ..

 

Khwaja Khwaja Bol Faqeera..
Khwaja Khwaja Bol Faqeera..

 

Tasbih Maala Yuñ Kahe Ke Tu Kya Phere Moy
Dil Ki Maala Pher Le Tu Turat Mila Duñ Toy

 

Khwaja Khwaja Bol Faqeera..
Khwaja Khwaja Bol Faqeera..

 

Ved, Puraan Ko Padh-Padh Thakke
Sajde Karde Ghis Gaye Mat’the
Na Rab Teerath Na Rab Makke
Khaata Hai Tu Kit-Kit Dhakke

 

Khwaja Khwaja Bol Faqeera..
Khwaja Khwaja Bol Faqeera..

 

Chisht Nagar Meiñ Dhoom Machi Hai
Khwaja Piya Ki Aaj Chhati Hai.

Phool Husaini Baagh Se Aaye
Ghaus-ul-Aazam Ne Mañgwaaye.

Khwaja Usmañ Gooñdh Ke Laaye
Khwaja Qutab Haiñ Jhanda Uthaaye.

Ganj-e Shakar Haiñ Wajd Meiñ Aaye
Nizamuddin Aur Sabir Gaayeñ.

 

Khwaja Khwaja Bol Faqeera..
Khwaja Khwaja Bol Faqeera..

 

Kaha Ek Sabri Khaadim Ne Ye Apne Shaikh-e Kaamil Se
Bacha Leeje Mujhe Bahr-e Khuda Isiyañ Ki Manzil Se.

 

Buraayi Bahut Ki Lekin Maiñ Ab Ye Gham Bhi Sahta Huñ
Meri Bakhshish Ho Kaise Maiñ Isi Uljhan Meiñ Rahta Huñ.

 

Raha Huñ Aaj Tak Maiñ Taare Shaitani Ka Dil Daada
Mere Aamaal Naame Par Siyahi Ho Gayi Zyada.

 

Kaha Ye Peer Ne Apne Gunaahoñ Ka Badal Karle

Ye Nuskha Yaad Kar Le Aur Phir Is Par Amal Karle.

 

Shariyat Ka Tu Saabun Peer Se Apne Mañga Lena
Tareeqat Ki Jaala Kar Aag Use Khud Par Chadha Lena.

 

Tu Rang-e Maarifat Ka Neel Bhi Usme Mila Lena
Hawa Ki Gar Zarurat Ho Haqeeqat Ki Hawa Lena.

 

Jahañ So Jaata Hai Lekin Tu Pichhli Shab Na Soya Kar
Tu Apni Aañkh Ke Ashkoñ Se Us Ko Roz Dhoya Kar.

 

Hirs Ki Daal, Neeñd Ka Halwa
Bughz ka saag gosht bhi mat kha

Chaar Cheezoñ Ke Paas Mat Jaana
Nabz Dikhlaane Paañcho Waqt Aana

 

Ved Puran Ko Padh-Padh Thakke
Sajde Karda Ghis Gaye Mat’the

Na Rab Teerath Na Rab Makke
Khaata Hai Tu Kit-Kit Dhakke

 

Apne Murshid Pe Kar Pahle Hasti Fana
Ishq Meiñ Karamaat Hi Jaayegi

Jab Karam Tujh Pe Khwaja Ka Ho Jaayega
Phir Nabi Se Mulaqaat Ho Jaayegi.

 

Lekin,
Khwaja Khwaja Bol Faqeera..

Khwaja Khwaja Bol Faqeera ..

Khwaja Khwaja Bol Faqeera..

Khwaja Khwaja Bol Faqeera ..

 

More Manqabat Ghareeb Nawaz

 

  • Comment में राय दीजिए
  • Share कीजिए

Hindi And English lyrics

Qawwali |

Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ | Nazir Ejaz Faridi | Ghous Muhammad Nasir

Naat-E-Paak|

Khalid Mahmud ‘Khalid’ Ajmal Sultanpuri Naat  | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *