Karbal Ka Manzar Rakh Diya Lyrics

Karbal Ka Manzar Rakh Diya Lyrics Hindi Mohammad Ali Faizi

 

जब किसी ज़ालिम ने ज़िक्रे तीरो ओ लश्कर रख दिया
मैंने उसके सामने करबल का मंज़र रख दिया

 

हज़रत ए शब्बीर ने सजदे में जब सर रख दिया
यूं लगा जे़रे जबीं जिब्रील ने पर रख दिया

 

अल्लाह अल्लाह नन्हे असग़र के तबस्सुम का जलाल
ज़ुल्म की बुनियाद को जिसने हिला कर रख दिया

 

काम आया हम शबीह ए शाफ़ए महशर का ग़म
रब ने मीज़ाने अमल पर नाम ए अकबर रख दिया

 

उस अली के लाल को मजबूर कहना जुर्म है
बाबे ख़ैबर जिसने उंगली से नचा कर रख दिया

 

हज़रत ए ज़ैनब के ग़म ने यूं किया दिल पर असर
सब कनीज़ों ने उठाकर अपना ज़ेवर रख दिया

 

Manqabat Khwan: Mohammad Ali Faizi


Karbal Ka Manzar Rakh Diya Lyrics English

 

Jab kisi Zalim Ne Zikr e Teer o Lashkar Rakh Diya

Maine Uske Samne Karbal Ka Manzar Rakh Diya

 

Hazrat e Shabbir Ne Sajde Me Sar Jab Rakh diya

Yun Laga Zere Jabeeñ Jibreel Ne Par Rakh Diya

 

Allah Allah Nanhe Asghar Ke Tabassum Ka Jalaal

Zulm Ki Buniyad Ko Jisne Hila Kar Rakh Diya

 

Kaam Aaya Ham Shabeeh e Shafa e Mahshar Ka Gham

Rab Ne Meezan e Amal Par Naam e Akbar Rakh Diya

 

Us Ali Ke Laal Ko Majboor Kahna Jurm Hai

Baab e Khaibar Jisne Ungli Se Nacha Kar Rakh Diya

 

Hazrat e Zainab Ke Gham Ne Yun Kiya Dil Par Asar

Sab Kaneezoñ Ne Utha kar Apna Zewar Rakh Diya


Our Pages


Naat-E-Paak         

Manqabat Ghaus e Azam

Manqabat Ghareeb Nawaaz

Naat Khwan:

         Qawwali         

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *