Kaisay Main Dafnaon Sakina Lyrics – Farhan Ali Waris
Shaam Ke Zindan Mein Ik Chhoti Si Qaidi
Haathon Me Paon Me Aur Gardan Me Hai Rassi
Aur Seene Pe Hai Baba Ka Hai Sar, Sar Se Hai Lipti
Muh Pe Muh Ko Rakh Ke Bahot Der Wo Royi
Haye! Rote Rote Usne Li Jo Aakhri Hichki
Zindan Mein Dam Tor Gayi Shah ki Pyari
Sakina… Sakina
Karte The Sajjad Ye Nauha
Kaise Mein Dafnaun Sakina
Qaidi Agar Qaid Mein Mar Jata Hai koi
Lash Ko Rassi Se Chhura Dete Hain Uski
Zakhmon Me Paiwast Rassan Hain Tere Aise
Maine Teri Lash Se Rassi Nahi Kholi
Lasha Bikhar Jaye Kahin Na
Kaisay Mein Dafnaun Sakina
Sakina…
Kaisay Mein Dafnaun Sakina
Kaisay Mein Dafnaun Sakina
Khoon Rulata Hai Ye Manzar Meri Bahna
Jism Tera Khoon Me Hai Tar Meri Bahna
Haathon Pe Lasha Hai Tera Soch Raha Hun
Ghusl Ko Paani Bhi Mayassar Nahi Behna
Tu Hi Bata De Meri Behna
Kaise Mein Dafnaun Sakina
Sakina….
Kaise Mein Dafnaun Sakina
Kaisi Musibat Ye Padi Door Watan Se
Baba Bhi Mahroom Hain Aur Tu Bhi Kafan Se
Chahun Chhurana To Chhura Bhi Nahi Sakta
Khoon Bhara Kurta Jo Chipka Hai Badan Se
Tera Kafan Hai Yehi Kurta
Kaise Mein Dafnaun Sakina
Sakina….
Kaise Mein Dafnaun Sakina
Yaad Mujhe Aata Hai Ae Ghamzada Khuwahar
Mujhse Yehi Poochti Rahti Thi Tu Aksar
Dafan Main Ho Jaun Agar Qaid e Sitam Me
Shimr Na Aa Jaye Kahin Meri Lahad Par
Ab Isi Zindan Me Dukhiya
Kaise Mein Dafnaun Sakina
Sakina….
Kaise Mein Dafnaun Sakina
Tu Hi Nahi Teri To Saansen Bhi Thi Qaidi
Dekhi Nahi Pahle Kahin Aisi Aseeri
Sona Jo Chaha To Tujhe Neend Na Aayi
Rona Jo Chaha To Tamachon Ki Saza Thi
Hogi Teri Qabr Bhi Tanha
Kaise Mein Dafnaun Sakina
Sakina….
Kaise Mein Dafnaun Sakina
Mazhar o Farhan Yehi Baat Hai Nauha
Haathon Me Ik Qaidi Ke Ik Qaidi Ka Lasha
Kaise Bandhe Haathon Se Main Qabr Banaun
Sabko Rulata Tha Ye Sajjad Ka Jumla
Haye Wo Sajjad Ka Kahna
Kaise Mein Dafnaun Sakina
Sakina….
Kaise Mein Dafnaun Sakina
Suno Ae Parindo Lyrics By Safdar Kaleem
Sakina Sham Ke Zindaan Me So Gayi Baba Lyrics
Manqabat Shahidan e Karbala And Noha Lyrics
Our Pages
Naat-E-Paak
- Khalid Mahmud ‘Khalid’
- Peer Naseeruddin ‘Naseer’
- Allama Saim Chishti
- Bedam Warsi
- Muzaffar Warsi
- Ajmal Sultanpuri Naat
- Ala Hazrat Naat
- Akhtar Raza Khan
- Raaz Ilaahabadi
- Muhammad Ilyas Attari
- Sayyad Nazmi Miyan
- Shakeel Arfi
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
- Muhammad Ali Faizi
- Ghulam Noore Mujassam
Qawwali
- Sabri Brothers
- Nusrat Fateh Ali Khan
- Rahat Fateh Ali Khan
- Iqbal Afzal Sabri
- Aziz Miyañ
- Nazir Ejaz Faridi
- Ghous Muhammad Nasir
- Maulvi Ahmad Hasan Akhtar