Ja Zindagi Madine Se Hindi Lyrics | जा ज़िंदगी मदीने से झोंके हवा के ला।
कलाम: मुज़फ्फ़र वारसी
जा ज़िंदगी मदीने से झोंके हवा के ला
जा ज़िंदगी मदीने से झोंके हवा के ला।
शायद हुज़ूर ﷺ हम से ख़फ़ा हैं, मना के ला।
कुछ हम भी अपना चेहरा-ए-बातिन संवार लें
बू-बक्र से कुछ आइने, इश्क़-ओ-वफ़ा के ला।
दुनिया बहुत ही तंग मुसलमां पे हो गयी
फ़ारूक़ के ज़माने का नक़्शा उठा के ला।
महरूम कर दिया हमें जिन से निगाह ने
उस्मान से वो ज़ाविए शर्म-ए-ह़या के ला।
मग़रिब में मारा-मारा न फिर ऐ गदा-ए-इ़ल्म
दरवाज़ा-ए-अ़ली से ये ख़ैरात जा के ला।
बातिल से दब रही है फिर उम्मत रसूल की
मंज़र ज़रा हुसैन से कर्ब-ओ-बला के ला।
सज्दों में गिड़गिड़ा के मुहम्मद ﷺ के पांव पर
जा! और जल्द रहमत-ए-हक़ को बुला के ला।
किस मुंह से पेश होगा मुज़फ़्फ़र हुज़ूर-ए-ह़क़
इसको शहीद-ए-उस्वा-ए-आक़ा बना के ला।
Ja Zindagi Madine Se Jhonke Hawa Ke La
Ja Zindagi Madine Se Jhonke Hawa Ke La
shayad Huzoor ﷺ Ham Se Khafa Hain Mana Ke La.
Kuch Ham Bhi Apna Chehra-e-Baatin Sanwar Leñ
Bu-Bakr Se Kuch Aayine Ishq-o-Wafa Ke La.
Dunya Bahot Hi Tang Muslamañ Pe Ho Gayi
Farooq Ke Zamana Ka Naqsha Utha Ke La.
Mahroom Kar Dya Hameñ Jin Se Nigah Ne
Usman Se Wo Zaviye Sharm-o-Haya Ke La.
Maghrib Meiñ Maara-Maara Na Phir Ae Gada-e-ilm
Derwaz-e-Ali Se Ye Kharat, Ja Ke La.
Batil Se Dab Rahi Hai Phir Ummat Rasool ﷺ Ki
Manzer Zara Hussain Se Phir Karbala Ke La.
Sajdon Meiñ Gidgida Ke Muhammad ﷺ Ke Paoñ Per
Ja ! Aur Jald Rahmet-e-Haq Ko Bula Ke La.
Kis Muñh Se Peish Ho Ga Muzaffar Huzoor-e-Haq
Is Ko Shaheed-e-Uswa-e-Aaqa Bana Ke La.
Our Pages
Shayar
- Khalid Mahmud ‘Khalid’
- Peer Naseeruddin ‘Naseer’
- Allama Saim Chishti
- Bedam Warsi
- Muzaffar Warsi
- Ajmal Sultanpuri Naat
- Ala Hazrat Naat
- Akhtar Raza Khan
- Raaz Ilaahabadi
- Muhammad Ilyas Attari
- Sayyad Nazmi Miyan
- Shakeel Arfi
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
- Muhammad Ali Faizi
- Ghulam Noore Mujassam
- Sabri Brothers
- Nusrat Fateh Ali Khan
- Rahat Fateh Ali Khan
- Iqbal Afzal Sabri
- Aziz Miyañ
- Nazir Ejaz Faridi
- Ghous Muhammad Nasir
- Maulvi Ahmad Hasan Akhtar