Guzre jis raah se woh saiyade wala ho kar

Guzre jis raah se woh saiyade wala ho kar
Guzre jis raah se woh saiyade wala ho kar

Guzre jis raah se woh saiyade wala ho kar

Shayar: Ala Hazrat  | Naat e Paak

Naat Khwan: Sayyad Abdul Wasi Qadri, Owais Raza Qadri, Muhammad Sadiq Rizvi,

Hadaaiqe bakhshish part 1

 

गुज़रे जिस राह से वोह सय्यिदे वाला हो कर
रह गई सारी ज़मीं अ़म्बरे सारा हो कर
Guzre jis raah se woh saiyade wala ho kar
Reh gai saari zami(n) ambare sara ho kar

 

रुख़े अनवर की तजल्ली जो क़मर ने देखी
रह गया बोसा दहे नक़्शे कफ़े पा होकर
Rukhe anwar ki tajalli jo qamar ne dekhi
Reh gya bosa dahe naqshe kafe paa hokar

 

वाए मह़रूमिये क़िस्मत कि मैं फिर अब की बरस
रह गया हम-रहे ज़व्वारे मदीना होकर
Waaye mahroomiye qismat ki mai fir ab ki baras
Reh gya hum-rahe zawware madina hokar

 

च-मने त़यबा है वोह बाग़ कि मुर्ग़े सिदरा
बरसों चहके हैं जहां बुलबुले शैदा होकर
Cha-mane taiba hai woh bagh ki murghe sidra
Barso(n) chahkey hein jaha(n) bubule shaida hokar

 

सर-सरे दश्ते मदीना का मगर आया ख़्याल
रश्के गुलशन जो बना गुन्चए दिल वा होकर
Sar-sare dashte madina ka magar aaya khyaal
Rashke gulshan jo bana guncha e dil wa hokar

 

गोशे शह कहते हैं फ़रियाद रसी को हम हैं

बा’दए चश्म है बख़्शाएंगे गोया होकर
Goshe shah kahtey hein fariyaad rasi ko hum hein
Wa’da e chashm hai bakhshayein-ge goya hokar

 

पाए शह पर गिरे या रब तपिशे मेह़र से जब
दिले बेताब उड़े ह़श्र में पारा होकर
Paaye shah per gire ya Rab tapishe meher se jab
Dile betaab ude hashr me paara hokar

 

है येह उम्मीद रज़ा को तेरी रह़मत में शहा
न हो ज़िन्दानिये दोज़ख़ तेरा बन्दा होकर
Hai yeh ummid Raza ko teri rahmat me shaha
Na ho zindaaniye dozakh tera bunda hokar

 

Hindi and english naat lyrics
Hindi and english naat lyrics


| Naat-E-Paak |  Ajmal Sultanpuri |  | Ala Hazrat NaatAkhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan | Khalid Mahmud Khalid |

| Qawwali | Sabri Brothers || Rahat Fateh Ali Khan | 

| Sufi Song  | Khailash Kher |     

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *