Bibi Fatima Manqabat 2023 – Ali o Zehra Lyrics
Subhanallah Subhanallah
Ya Zehra Ya Haider
Ya Zehra Ya Haider
Ya Zehra Ya Haider
Fatima Kya Hai Ye Darain Ke Mola Se Sune
Aur Haider Ki Sana Fatima Zehra Se Sune
Guftgu Karte Haiñ Aapas Me Ali o Zehra
Guftgu Karte Haiñ Aapas Me Ali o Zehra
Murtaza Bole Batool Aap Hain Izzat Meri
Aap Jauza Hain Meri Ye Hai Fazilat Meri
Dast e Khaliq Hun Magar Aap Hain Taqat Meri
Han Faqat Aap Hain Duniya Me Zaroorat Meri
Sochta Hun Ke Namazoñ Me Dua Kya Maangu
Aap Ke Baad Khuda Se Main Bhala Kya Maangu !
Guftgu Karte Haiñ Aapas Me Ali o Zehra
Guftgu Karte Haiñ Aapas Me Ali o Zehra
Fatima Boliñ Ali Aapke Mansab Hain Bade
Dahar Me Aana Tha To Ghar Me Khuda Ke Utre
Martabe Aapke Jaise Na Rasooloñ Ko Mile
Aapke Baba Ke Ahsaan Haiñ Ham Par Kitne
Bachpane Hi Se Sambhala Hai Mere Baba Ko
Aap Ke Baba Ne Pala Mere Baba Ko !
Guftgu Karte Hain Aapas Me Ali o Zehra
Guftgu Karte Hain Aapas Me Ali o Zehra
Bole Haider Ye Do Aalam Tera Sadqa Zehra
Arsh Se Utra Hai Tere Liye Joda Zehra
Teri Dahleez Hai Sidra Ka Ilaaqa Zehra
Yahañ Bichhta Hai Tahajjud Ka Musalla Zehra
Bas Mohammad ﷺ Paye Tazim Khade Rahte Haiñ
Warna Sab Ambiya Sajde Me Pade Rahte Haiñ!
Guftgu Karte Haiñ Aapas Me Ali o Zehra
Guftgu Karte Haiñ Aapas Me Ali o Zehra
Fatima Boliñ Maiñ Qurban Mere Aaqa Par
Khatm Hai Manzil e Irfan Mere Aaqa Par
Fakhr Khud Karta Hai Rahman Mere Aaqa Par
Baba Jaañ Dete Haiñ Khud Jaan Mere Aaqa Par
Baat Baba Ne Ye As’hab Ko Batlayi Hai
Tum To Naukar Ho Magar Mera Ali Bhai Hai !
Guftgu Karte Haiñ Aapas Me Ali o Zehra
Guftgu Karte Haiñ Aapas Me Ali o Zehra
Murtaza Bole Faqat Masdar e Ismat Tum Ho
Hujjatullah Jo Haiñ Un Pe Bhi Hujjat Tum Ho
Halqa e Wasl e Risalat Wa Imamat Tum Ho
Maiñ Hun Haq Par To Mere Haq Ki Shahadat Tum Ho
Kon Darbar Me Paigham e Ilahi Deta
Tum Na Hoti To Meri Kon Gawahi Deta !
Guftgu Karte Hain Aapas Me Ali o Zehra
Guftgu Karte Hain Aapas Me Ali o Zehra
Boliñ Zehra Maiñ Zamane Ki Khabar Jaanti Hooñ
Is Hatheli Ki Tarhañ Aalam e Zar Janti Hooñ
Khaak Se Kis Tarha Banta Bashar, Janti Hooñ
Dast e Khaliq Ke Maiñ Haathoñ Ka Hunar Janti Hoon
Mojza Bar Sar e Aflaq Dikhaya Tumne
Maine Khud Dekha Hai Aadam Ko Banaya Tumne !
Guftgu Karte Haiñ Aapas Me Ali o Zehra
Guftgu Karte Haiñ Aapas Me Ali o Zehra
Bole Haider Nahiñ Shak Isme Zara Sa Zehra
Aap Haiñ Ilm e Ladooni Ka Asaasa Zehra
Aapko Yaad Hai Sab Louh Ka Likkha Zehra
Wo Bhi Maloom Hai Jo Kuchh Nahi Hoga Zehra
Jitna Allah Ne Nabiyoñ Ko Padha Rakkha Hai
Utna To Aap Ne Fizza Ko Bata Rakkha Hai !
Guftgu Karte Haiñ Aapas Me Ali o Zehra
Guftgu Karte Haiñ Aapas Me Ali o Zehra
Fatima Boliñ Mere Malik o Mukhtar Ali
Khadima Huñ Maiñ Teri, Tu Mera Sardar Ali
Tujh Pe Sau Jaan Se Qurban Hun Sau Baar Ali
Fatima Sabse Badi Hai Teri Hubdaar Ali
Teri Azmat Yuñ Zamane Ko Dikhayi Zehra
Teri Nalain Ko Haathoñ Pe Uthaye Zehra !
Guftgu Karte Haiñ Aapas Me Ali o Zehra
Guftgu Karte Haiñ Aapas Me Ali o Zehra
Teri Qismat Ke Payamber Bhi Sana-Khwan Mile
Ab Kisi Maa Ko Bhi Mumkin Nahiñ Ye Shan Mile
Bahre Ismat Se Tujhe Lulu Omar Jaan Mile
Tujhko Hujre Me Tere Bolte Qur’aan Mile
Kab Baraheem Ke Virse Me Ye Izzat Aayi
Tere Har Bete Ke Hisse Me Imamat Aayi !
Subhanallah Ya Zehra Ya Haider
Mir Sajjad Ali, Kahte The Har Baar Yehi
Ek Hai Fatima Aur Ek Hai Duniya Me Ali
Mere Jaisa Na Hai Koi, Na Hai Tumsa Koi
Ik Haqiqat Kahañ Maloom Hai Duniya Ko Abhi
Waqt e Mushkil Kahañ Duniya Se Madad Leta Hai
Bas Ali Fatima Zehra Se Madad Leta Hai!
Guftgu Karte Haiñ Aapas Me Ali o Zehra
Ya Zehra Ya Haider
Ya Zehra Ya Haider
Written & Recited by: Mir Sajjad Mir
More Manqabat Bibi Fatima Zehra
Manqabat Shahidan e Karbala| Nohey Lyrics