Duniya Mein Jo Qayam Tere Mangton Ka Bharam Hai

Duniya Mein Jo Qayam Tere Mangton Ka Bharam Hai Lyrics

Qawwal : Iqbal Afzal Sabri

 

Fiza Chhayi Hui Hai Noor Ki Sabir Ke Rauze Par
Chamakti Hai Tajalli Toor Ki Sabir Ke Rauze Par

Kashish Hai Ye Mere Makhdoom Sabir Teri Hasti Meiñ
Khichi Aati Hai Public Door Ki Sabir Ke Rauze Par.

 

Mamba-e Sirr-e Nabuwwat Ham Walayat Haidari
Aaftab-e Chishtiya Makhdoom Sabir Kalyari.

 

Duniya Meiñ Jo Qayam

Duniya Meiñ Jo Qayam Tere Mañgtoñ Ka Bharam Hai … Bharam Hai

 

Duniya Mein Jo Qaayam Tere Mangto Ka Bharam Hai … Bharam Hai
Ya Sabir-e Kalyar Teri Nisbat Ka Karam Hai … Karam Hai

 

Kabhi Chalte Chalte Bhatak Gaya
Kabhi Girte Girte Sañbhal Gaya
Maiñ Har Ek Manzile Sakht Se
Tera Naam Le Ke Nikal Gaya

Ya Sabir-e Kalyar Teri Nisbat Ka Karam Hai … Karam Hai

 

Daaman Hai Chaak Chaak Siye Ja Raha Huñ Maiñ
Jeene Ka Haq Nahi Hai Jiye Ja Raha Huñ Maiñ

Ya Sabir-e Kalyar Teri Nisbat Ka Karam Hai … Karam Hai

 

Ye Udaas Raah e Manzil Ye Meri Shakasta Paayi
Maiñ To Thak Ke Baith Jaata Teri Yaad Kaam Aayi

Mera Kya Bigaad Lega Jo Khilaf Hai Zamana
Mere Saath Jab Ke Tu Hai Mere Saath Hai Khudaayi

Ya Sabir-e Kalyar Teri Nisbat Ka Karam Hai … Karam Hai

 

Ziddi The Apni Baat Ke Hum Bhi Ade Rahe
Nashtar Khalish Ke Dil Meiñ Hamare Gade Rahe
Makhmoor Hoke Dar Pe Tumhare Pade Rahe
Yuñ To Mukhalifoñ Ne Bahut Zor Lagaye
Lekin Hamare Naam Ke Jhande Gade Rahe

Ya Sabir-e Kalyar Teri Nisbat Ka Karam Hai … Karam Hai

 

Toofañ Ne Mujhe Sajda-e Taazim Kiya Hai

Ya Sabir-e Kalyar Teri Nisbat Ka Karam Hai … Karam Hai

 

Ye Udaas Raah e Manzil Ye Meri Shakasta Paayi
Wahiñ mil gaya Sahara Jahañ Naaw Dagmagayi

Ya Sabir-e Kalyar Teri Nisbat Ka Karam Hai … Karam Hai

 

Koi Afzal Kahta Hai Koi Iqbal Kahta Hai
Zamaana Humko Chishti Sabiri Qawaal Kahta Hai

Ya Sabir-e Kalyar Teri Nisbat Ka Karam Hai … Karam Hai

 

Jaam Dekha Na Kabhi Saaghar o Meena Dekha
Jab Badhi Pyaas To Saaqi-e Madina Dekha

Teri Chaukhat Se Mere Sarkar Ka Ghar Door Nahi
Hamne Kaliyar Meiñ Khade Hoke Madina Dekha

Ya Sabir-e Kaliyar Teri Nisbat Ka Karam Hai … Karam Hai

 

Kabhi Chalte Chalte Bhatak Gaya
Kabhi Girte Girte Sañbhal Gaya

Maiñ Har Ik Manzil-e Sakht Se
Tera Naam Le Ke Nikal Gaya

Wo Qasam Khuda Ki Sañbhal Gaya
Jo Teri Gali Meiñ Bhatak Gaya

 

Jo Teri Gali Meiñ Bhatak Gaya
Jo Teri Gali Meiñ Bhatak Gaya

 

Ali Mile Haiñ Nabi Mile Haiñ
Nabi Mile Haiñ Khuda Mila Hai

Jo Teri Gali Meiñ Bhatak Gaya
Jo Teri Gali Meiñ Bhatak Gaya

 

Jab Teri Gali Meiñ Bhatak Gaya

 

Maiñ Teri Gali Meiñ Bhatak Gaya
Maiñ Teri Gali Meiñ Bhatak Gaya

 

Hai Jaisi Nazar Waisi Soojhe
Koi Ye Pooje Koi Wo Pooje
Deewane Ki Duniya Sabse Alag
Na Ye Pooje Na Wo Pooje

Maiñ Teri Gali Meiñ Bhatak Gaya
Ya Sabir,
Maiñ Teri Gali Meiñ Bhatak Gaya

 

Darbar-e Sabri Meiñ Maañgo To Kuchh Zabaañ Se
Sab Kuchh Tumheñ Milega Sabir Ke Aastañ Se

Kaaba Mujhe Pukaare Ya Butkada Pukaare
Ab Sar Nahi Uthega Mera Sabir Ke Aastañ Se

Maiñ Teri Gali Meiñ Bhatak Gaya
Maiñ Teri Gali Meiñ Bhatak Gaya

(Zara Rukh Badalte Haiñ)

Yuñ Teri Gali Meiñ Bhatak Gaya
Yuñ Teri Gali Meiñ Bhatak Gaya

 

Maula Ali Hasnain Ke Jaani Sabir
Sarkar-e Do Aalam Ki Nishani Sabir

Yuñ Teri Gali Meiñ Bhatak Gaya
Yuñ Teri Gali Meiñ Bhatak Gaya

 

Maiñ Teri Gali Meiñ Bhatak Gaya
Main Teri Gali Meiñ Bhatak Gaya

 

Yuñ Teri Gali Meiñ Bhatak Gaya
Yuñ Teri Gali Meiñ Bhatak Gaya

 

Na Gharaz Haram Ke Waqar Se
Na Sanamkade Ki Bahaar Se
Mujhe Kaam Hai Dar-e Yaar Se
Dar-e Yaar Phir Dar-e Yaar Hai

Yuñ Teri Gali Meiñ Bhatak Gaya
Yuñ Teri Gali Meiñ Bhatak Gaya

 

Ek Ye Bhi Sabab Hai Ke Maiñ Deewana Bana Huñ, Yuñ Teri Gali Meiñ

Gada Nawaz Ne Sabke To Haath Thaam Liye
Hamara Dast-e Talab Muskura Ke Chhod Diya

Yuñ Teri Gali Meiñ Bhatak Gaya
Yuñ Teri Gali Meiñ Bhatak Gaya

 

Duniyañ Meiñ Jo Qaayam Tere Mañgtoñ Ka Bharam Hai … Bharam Hai
Ya Sabir-e Kaliyar Teri Nisbat Ka Karam Hai … Karam Hai

 

Kaabe Ki Talab Hai Na Tamanna-e Sanam Hai … Sanam Hai
Jab Aap Salamat Haiñ To Kis Baat Ka Gham Hai … Gham Hai

Jab Aap Salamat Haiñ To Kis Baat Ka Gham Hai … Mere Sabir

 

Yuñ TuNe Nawaza Hai Mujhe Apne Karam Se … Karam Se
Mahsoos Ye Hota Hai Mohammad ﷺ Ka Karam Hai … Karam Hai

 

Haiñ Sab Ke Sanam Apni Jagah Laayaq-e Taazim
Bismil Meri Nazroñ Meiñ To Bas Mera Sanam Hai … Sanam Hai

 

Ya Sabir-e Kaliyar Teri Nisbat Ka Karam Hai … Karam Hai

  • Comment में राय दीजिए
  • Share कीजिए

Our Pages


Naat-E-Paak         

Rabiul Awwal Mutalliq Kalam 

Manqabat Ghaus e Azam

Manqabat Ghareeb Nawaaz

Shayar

Naat Khwan:

         Qawwali         

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *