Dhoom Hai Mere Khwaja Ke Angna Lyrics

Dhoom Hai Mere Khwaja Ke Angna Lyrics

Qawwal: Iqbal Afzal Sabri

 

हिन्दी लिरिक्स

Moeenuddeeñ Hasan Aalam Panaahe
Ba Soo-e Maa Ghareebañ Yak Nigaahe.

 

Ye Wo Waqt Hai Jo Bhi Maañgo So Paao
Dar-e Shahb Dast-e Talab To Uthaao.

 

Pareshan Kyuñ Ho Gham-e Do Jahaañ Se
Madad Maañg Lo Khwaja e Khwajgañ Se.

 

Dhoom Hai Mere Khwaja Ke Añgna ..
Dhoom Hai Mere Khwaja Ke Añgna ..

Dhoom Hai Mere Khwaja Ke Añgna
Farsh Se Arsh Tak Raushni Hai

 

Dekho To Bhaag Jaage Haiñ Bhaarat Ki Khaak Ke
Arsh-e Bareeñ Se Dekheñ Farishte Bhi Jhaank Ke

Dhoom Hai Mere Khwaja Ke Añgna ..
Dhoom Hai Mere Khwaja Ke Añgna ..

 

Aaj Ki Ratiya Mela Laga Hai Khwaja Ji Ke Dwaare
Chaañd Suraj Aakaash Ke Taare Jhaañkeñ Nain Pasaare.

Dhoom Hai Mere Khwaja Ke Añgna ..
Dhoom Hai Mere Khwaja Ke Añgna ..

 

Janaabe Shaahe Zaman Ka Sadqa
Wo Dete Hain PanjTan Ka Sadqa
Chalo Madina, Sañbhalo jholi
Zaqaat-e Khairul Anaam Lelo

Dhoom Hai Mere Khwaja Ke Añgna ..
Dhoom Hai Mere Khwaja Ke Añgna ..

 

Maula Ali Ka Raaj Dulaara Sab Waliyan Mein Ek
Shamsuddiñ Ji Gaaweñ Badhaawa
Khusro Maañge Neg

Dhoom Hai Mere Khwaja Ke Añgna..

 

Dhoom Hai Mere Khwaja Ke Añgna
Farsh Se Arsh Tak Raushni Hai,

Bat Raha Hai Mohammad ﷺ Ka Sadqa
Bat Raha Hai Mohammad ﷺ Ka Sadqa
Aaj Khwaja Piya Ki Chhati Hai

 

Aaj Khwaja Piya Ki Chhati Hai..
Aaj Khwaja Piya Ki Chhati Hai..

 

Bat Raha Hai Mohammad ﷺ Ka
Mohammad ﷺ Ka Sadqa ..
Bat Raha Hai Mohammad ﷺ Ka
Mohammad ﷺ Ka Sadqa ..

 

Kya Cheez Mohabbat Hai Duniya Ko Bata Duñga
Sar Aap Ki Chaukhat Par Ji Waqt Jhuka Duñga
Gar Bheek Na Di Mujhko Ek Shor Macha Duñga
Sab Duniya Ke Mañgtoñ Ko Dar Tera Bata Duñga

Bat Raha Hai Mohammad ﷺ Ka
Mohammad ﷺ Ka Sadqa ..
Bat Raha Hai Mohammad ﷺ Ka
Mohammad ﷺ Ka Sadqa ..

 

Dukh Zadonñ Ke Maseeha Mujhe Bheek De
Mera Daaman Hai Khaali Mujhe Bheek De.

 

To sada aayi:
Hum Haiñ Dene Ko Tayyar Aa Bheek Le
Tujhko Lena Na Aaye To Kya Bheek Dena

Bat Raha Hai Mohammad ﷺ Ka
Mohammad ﷺ Ka Sadqa ..
Bat Raha Hai Mohammad ﷺ Ka
Mohammad ﷺ Ka Sadqa ..

 

Toofan Se Shaahil Tak, Saahil Se Safeene Tak
Ajmer Se Kaliyar Tak, Kaliyar Se Madine Tak

Bat Raha Hai Mohammad ﷺ Ka
Mohammad ﷺ Ka Sadqa ..
Bat Raha Hai Mohammad ﷺ Ka
Mohammad ﷺ Ka Sadqa ..

 

Bat raha hai Mohammad ﷺ ka sadqa
Aaj Khwaja piya ki chhati hai.

 

Hoor o Ghilmaan Daamaan Pasaare
Kah Rahe Hain Ye Haidar Ke Dwaare,

Neg De Neg De Humko Zahra
Tere Pote Ki Shaadi Rachi Hai
Tere Pote Ki Shaadi Rachi Hai..

 

Jis Ko Tumne Banaya Hai Khwaja
Wo Mitaaye Se Mit Na Sakega,

Aap Ke Dam Qadam Se To Khwaja
Kamli Waale Ki Kheti Hari Hai
Kamli Waale Ki Kheti Hari Hai..

 

Jisko Tum Ne Banaya ..
Jisko Tum Ne Banaya ..

 

Nisbat hui Hai Jab Mujhe Tere Naam Se
Duniya Pukarti Hai Bade Ehtaraam Se

Kyuñ ke,
Mujhko Tum Ne Banaya ..
Mujhko Tum Ne Banaya ..

 

Jisko Tum Ne Banaya ..
Jisko Tum Ne Banaya ..

 

Mustufa Ke Nawaasoñ Ka Sadqa
Karbala Ke Piyaasoñ Ka Sadqa
Apne Iqbal Ki Laaj Rakh Lo

Ye Ghulam e Dar e Sabri Hai ..
Ye Ghulam e Dar e Sabri Hai ..

More Manqabat Ghareeb Nawaz

  • Comment में राय दीजिए
  • Share कीजिए

Hindi And English lyrics

Qawwali |

Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ Ghous Muhammad Nasir

Naat-E-Paak|

Khalid Mahmud ‘Khalid’ Ajmal Sultanpuri Naat  | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *