Dayar e Ishq Mein Apna Maqaam Paida Kar Lyrics below
Qawwal: Ustad Rahat Fateh Ali Khan
Kalam: Dr. Allama Iqbal
Tera Jauhar hai Noori, Paak hai tü
Farogh-e-Deedah-e-Aflaak hai tü
Tere Said-e-Zaboon, Afrishta-o-Hoor
Ke Shaheen-e-Shah-e-Loulak (S.A.W.) Hai Tu!
Hakeemi, Na-Musalmani Khudi Ki
Kaleemi, Ramz-e-Pinhani Khudi Ki
Tujhe Gurr Faqr-o-Shahi Ka Bata Doon
Ghareebi Meiñ Nighebaani Khudi Ki !
Dayar e Ishq Meiñ..
Dayar e Ishq Mein Apna Maqaam Paida Kar
Dayare Ishq Mein Apna Maqaam Paida, Paida, Paida Kar
Dayare Ishq Mein Apna Maqam Paida Kar
Dayar-e Ishq Meiñ….. Ishq Meiñ
Dayar-e Ishq Meiñ….. Ishq Meiñ
Zindagaani Hai Sadaf, Qatra-e-Nesaañ Hai Khudi
Woh Sadaf Kya, Ke Jo Qatre Ko Guhar Kar Na Sake
Ho Agar Khudnigar-o-Khudgar-o-Khudgeer Khudi
Ye Bhi Mumkin Hai Ke Tu Maut Se Bhi Mar Na Sake
Dayar-e-Ishq Meiñ….. Ishq Meiñ
Dayar-e Ishq Meiñ….. Ishq Meiñ
Dayar e Ishq Meiñ Apna Maqam Paida Kar
Dayare Ishq Mein Apna Maqam Paida Kar
Dayar e Ishq Meiñ Apna Maqam Paida Kar
Apna Maqaam Paida Kar
Apna Maqaam Paida Kar
Khudi Ki Jalwatoñ Meiñ Mustafai
Khudi Ki Khalwatoñ Meiñ Kibriyai
Zameen-o-Asman-o-Arsh-o-Kursi
Khudi Ki Zad Meiñ Hai Saari Khudai!
Apna Maqam Paida Kar
Apna Maqam Paida Kar
Tere Seene Meiñ Dam Hai, Dil Nahiñ Hai
Tera Dam Garmi-e-Mehfil Nahiñ Hai
Guzar Ja Aqal Se Aage, Ke Ye Noor
Charagh-e-Rah Hai, Manzil Nahiñ Hai
Dekh.. Apna Makam Paida Kar
Apna Makam Paida Kar
Phir Charagh-e-laala Se Raushan Hue Koh o Daman
Mujh Ko Phir Naghmoñ Pe Uksqane Laga Murgh-e-Chaman
Apne Mann Meiñ Doob Kar Pa Ja Suragh-e-Zindagi
Tu Agar Mera Nahiñ Banta, Na Ban, Apna To Ban
Mann Ki Duniya Mann Ki Duniya Soz o Masti Jazba o Shauq
Tan Ki Duniya Tan Ki Duniya Sood O Sauda Makr o Fan
Mann Ki Daulat Hath Aati Hai To Phir Jaati Nahiñ
Tan Ki Daulat Chhañw Hai, Aata Hai Dhan, Jata Hai Dhan
Mann Ki Duniya Meiñ Na Paya Maiñ Ne Afrangi Ka Raaj
Mann Ki Duniya Meiñ Na Dekhe Maiñ Ne Shaikh o Barahaman
Pani Pani Kar Gayi Mujko Qalandar Ki Ye Baat
Pani Pani Kar Gayi Mujko Qalandar Ki Ye Baat
Tu Jhuka Jab Ghair Ke Aage, Na Mann Tera, Na Tan
Apna Maqam Paida Kar
Apna Maqam Paida Kar
Nahiñ Tera Nasheman, Qasr-e-Sultani Ke Gumbad Par
Tù shaheeñ hai basera kar Pahaadoñ Ki Chataanoñ Par
Apna Maqam Paida Kar
Apna Maqam Paida Kar
Khudi Meiñ Gum Hai Khudai, Talash Kar Ghafil!
Yehi Hai Tere Liye Ab Salah-e-Kaar Ki Raah
Hadees-e-Dil Kisi Darwesh-e-Be-Galeem Se Pooch
Khuda Kare Tujhe Tere Maqam Se Aagah
Apna Maqam Paida Kar
Apna Maqam Paida Kar
Nigahe faqr Mein Shane Sikandari Kya Hai
Khiraaj Ki Jo Gada Ho Wo Qaisari Kya Hai
Butoñ Se Tujh Ko Umeedeñ, Khuda Se Naumeedi
Mujhe Bata To Sahi, Aur Kaafiri Kya Hai
Faqat Nigah Se Hota Hai Faisla Dil Ka
Na Ho Nigah Meiñ Shokhi To Dilbari Kya Hai
Kise Nahin Hai Tamanna-e-Sarwari Lekin
Khudi Ki Maut Ho Jis Meiñ Wo Sarwari Kya Hai
Apna Maqam Paida Kar
Apna Maqam Paida Kar
Khudi Ko Kar Buland Itna Ke Har Taqdeer Se Pahle
Khuda Bande Se Khud Poochhe, Bata Teri Raza Kya Hai!
Apna Maqam Paida Kar
Apna Maqam Paida Kar
Gala To Ghoñt Diya, Ahl-e-Madarsa Ne Tera
Kahañ Se Aaye Sada Laa ilaaha Illallah
Apna Maqam Paida Kar
Apna Maqam Paida Kar
Har Shai Musaafir, Har Cheez Raahi,
Kya Chaañd Taare Kya Murgh-o-Maahi.
Kuchh Qadar Apni Toone Na Jaani,
Ye Be-Sawaami Ye Kam-Nigaahi.
Peer-e-Haram Ko Dekha Hai Maiñne,
Kirdaar-e-Be-Soz Guftaar Waahi. !!
Dekh… Apna Maqaam Paida Kar
Apna Maqaam Paida Kar
Phire toor-e-seena o Baaraan Meiñ
Tajalli Ka Phir Muntazir Hai Kaleem
Musalmaañ Haiñ Tauheed Meñ Garm-Josh
Magar Dil Abhi Tak Hai Zunnar-Posh
Tamaddun, Tasawwuf, Sahree’at Kalaam
Butaan-e-Ajam Ke Pujaari Tamaam
Haqeeqat Kharaafat Meiñ Kho Gayi
Ye Ummat Rawayaat Meñ Kho Gayi
Dekh..
Apna Maqam Paida Kar
Apna Maqam Paida Kar
Lubhata Hai Dil Ko Kalaam-e-Khateeb
Magar Lazzat-e-Shauk Se Be-Naseeb
Bayañ Iska Mantak Se Suljha Hua
Lughat Ke Bakhedoñ Meiñ Uljha Hua
Wo Sufi ke Tha Khidmat-e-Haq Meiñ Mard
Mohabbat Meiñ Yakta, Hameeyat Meñ Fard
Ajam Ke Khayalaat Meñ Kho Gaya
Ye Saalik, Maqaamaat Meñ Kho Gaya
Bujhi Ishq Ki Aag andher Hai
Musalmaañ Nahiñ, Raasta, Der Hai
Apna Maqam Paida Kar
Apna Maqam Paida Kar
Sharab-e-Kohan Phir Pila Saqiya
Wohi Jaam Gardish Mein La Saqiya
Mujhe Ishq Ke Par Laga Kar Uda
Meri Khaak Jugnu Bana Kar Uda
Hari Shaakh-e-Millat Tire Naam Se Hai
Nafas Is Badan Mein Tire Dam Se Hai
Tadapne Phadakne Ki Taufeeq De
Dil-e Murtza Soz-e-Siddiq De
Jigar Se Wohi Teer Phir Paar Kar
Tamanna Ko Seenoñ Meiñ Bedaar Kar
Tere Aasmanoñ Ke Taroñ Ki Khair
Zaminoñ Ke Shab Zindah-daaroñ Ki Khair
Jawanon Ko Soz-e-Jigar Bakhsh De
Mira Ishq, Meri Nazar Bakhsh De
Apna Maqam Paida Kar
Apna Maqam Paida Kar
Dayar-e Ishq Mein Apna Maqaam Paida Kar
Dayar-e Ishq Mein Apna Maqaam Paida Kar
Dayar-e Ishq Mein Apna Maqaam Paida Kar
Dayar-e Ishq Mein Apna Maqaam Paida Kar
Naya Zamana, Naye..
Naya Zamana, Naye Subh o Sham Paida Kar
Naya Zamana, Naye Subh o Sham Paida Kar
Khuda Agar Dil-e-Fitrat-Shanas De Tujh Ko
Sakoot-e-Lala-o-Gul Se Kalaam Paida Kar
Main Shakh-e-Taak Huñ, Meri Ghazal Hai Mera Samar
Mere Samar Se Mai-e-Lala-Faam Paida Kar
(Sargam)
Mere Samar Se Mai-e-Lala Faam Paida Kar
Mera Tareeq Ameeri Nahin, Faqeeri Hai
Na Momin Hai, Na Momin Ki Ameeri
Raha Soofi Gayi Raushan Zameeri
Khuda Se Phir Wahi Qalb-o-Nazar Maañg
Nahiñ Mumkin Ameeri Be-Faqeeri
Mera Tareeq Ameeri Nahiñ, Faqeeri Hai
Khudi Na Beiñch..
Khudi Na Beiñch, Ghareebi Meiñ Naam Paida Kar
Dayare Ishq Mein Apna Maqaam Paida Kar
Dayare Ishq Mein Apna Maqaam Paida Kar
Naya Zamana Naye Subh o Shaam Paida Kar
Naya Zamana Naye Subh o Shaam Paida Kar
Hindi And English lyrics
| Naat-E-Paak | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat |
| Qawwali | Sabri Brothers || Rahat Fateh Ali Khan |
| Sufi Song | Khailash Kher |