Bulalo Fir Mujhe Ae Shah E Bahrobar Naat Lyrics
Shayar: Muhammad Ilyas Attari | Naat e Paak
Naat Khwan: Owais Raza Qadri
बुलालो फिर मुझे ऐ शाह-ए-बहरोबर ! मदीने में
मैं फिर रोता हुआ आऊं तेरे दर पर मदीने में
Bulalo Fir Mujhe Ae Shah E Bahrobar ! Madine Me
Mein Fir Rota Hua Aaun Tere Dar Par Madine Me
मैं पहुंचू कू-ए-जानां में गिरीबां चाक सीना चाक
गिरा दे काश ! मुझ को शौक़ तड़पा कर मदीने में
Mein Pahuchoo Koye Jana Me Giriba Chaak Seena Chaak
Gira De Kaash ! Mujhe Ko Shouq Tadapa Kar Madine Me
मदीने जाने वालो जाओ जाओ फी-अमानिल्लाह
कभी तो अपना भी लग जाएगा बिस्तर मदीने में
Madine Jaane Waalo Jaao Jaao Fi-Amanillah
Kabhi To Apna Bhi Lag Jayega Bistar Madine Me
सलाम-ए-शौक़ कहना हाजियो ! मेरा भी रो रो कर
तुम्हें आए नज़र जब रौज़-ए-अन्वर मदीने में
Salam-E-Shouq Kahna Haajiyo ! Mera Bhi Ro Ro Kar
Tumhen Aaye Nazar Jab Rouza-E-Anwar Madine Me
पयाम-ए-शौक़ लेते जाओ मेरा क़ाफ़िले वालो
सुनाना दास्तान-ए-ग़म मेरी रो कर मदीने में
Pyaam-E-Shouq Lete Jaao Mera Qaafile Walo
Sunana Daastan-E-Gham Meri Ro Kar Madine Me
मेरा ग़म भी तो देखो मैं पड़ा हूं दूर तयबा से
सुकूं पाएगा बस मेरा दिल-ए-मुज़्तर मदीने में
Mera Gham Bhi To Dekho Mein Pada Door Taiba Se
Sukoon Paayega Mera Dile Muztar Madine Me
न हो मायूस दीवानो पुकारे जाओ तुम उन को
बुलाएंगे तुम्हें भी एक दिन सरवर मदीने में
Na Ho Maayoos Diwana-O-Pukare Jaao Tum Un Ko
Bulaenge Tumhe Bhi Ek Din Sarwar Madine Me
बुलालो हम ग़रीबों को बुला लो या रसूलल्लाह
प-ए-शब्बीर-ओ-शब्बर फ़ातिमा हैदर मदीने में
Bulalo Ham Ghareebon Ko Bula lo Ya Rasoolallah
Paye-Shabbir-O-Shabbar Fatima Haider Madine Me
न दौलत दे न सरवत दे, मुझे बस ये सआदत दे
तेरे क़दमों में मर जाऊं मैं रो रो कर मदीने में
Na Doulat De Na Sarwat De, Mujhe Ye Sa’aadat De
Tere Qadmon Me Mar Jaaun Mein Ro Ro Kar Madine Me
मदीना इस लिये अत्तार जान-ओ-दिल से है प्यारा
के रहते हैं मेरे आक़ा मेरे सरवर मदीने में
Madina Is Liye Attar Jaan-O-Dil Se Hai Pyara
Ke Rahte Hein Mere Aaqa Mere Sarwar Madine Me
Hindi And English Naat Lyrics
Hindi And English Naat Lyrics
Our Pages
Naat-E-Paak
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
- Muhammad Ali Faizi
- Ghulam Noore Mujassam
Qawwali
Manqabat Shahidan e Karbala | Nohay Lyrics|