Aye Khwaja Piya Lyrics | Hafiz Ahmed Raza Qadri

Aye Khwaja Piya Lyrics | Hafiz Ahmed Raza Qadri

 

Khwaja… Karam Kar Khwaja
Khwaja… Karam Kar Khwaja

Moinuddin.. Moinuddin.. Moinuddin..

 

Khairat Karam Ki Kar Do Ata
Aye Khwaja Piya, Aye Khwaja Piya

Tere Dar Pe Khade Hain Tere Gada
Aye Khwaja Piya, Aye Khwaja Piya

 

Meri Rooh Ke Aañgan Me Aaye
Mere Dil Ki Kali Ko Mahakaye
Tere Pyare Nagar Ki Pyari Hawa
Aye Khwaja Piya, Aye Khwaja Piya

 

(Mera Bigda Waqt Sawaar Do
Mere Khwaja Mujhko Nawaz Do
Teri Ik NigaheKi Baat Hai
Meri Zindagi Ka Sawaal Hai)

 

Iman Hamara Hai Qamil
Tum Rab Ki Ata Se Jante Ho
Hoti Hai Ghamoñ Ki Kaise Dawa
Aye Khwaja Piya, Aye Khwaja Piya

 

Mere Khwaja Khwaja
Mere Khwaja Khwaja
Mere Khwaja Khwaja
Mere Khwaja Gharib Nawaz

 

Khairat Karam Ki Kar Do Ata
Aye Khwaja Piya, Aye Khwaja Piya

 

Har Mushkil Ko Farmata Hai
Is Waste Tu Kaam Aata Hai
Tera Baba Ali Hai Mushkil Kusha
Aye Khwaja Piya, Aye Khwaja Piya

 

Mere Hoñthoñ Par Hai Teri Sana
Hai Khwaja Khwaja Wird Mera
Mere Dil Pe Likha Hai Naam Tera
Aye Khwaja Piya, Aye Khwaja Piya

 

Aaqa Ki Ata Wo Noor-e-Ali
Zehra Ki Kali, Waliyoñ Ke Wali
Hasnain Ke Dil, Usmañ Ke Nayan
Ya Khwaja Moinuddin Hasan

Khwaja… Karam Kar Khwaja
Khwaja… Karam Kar Khwaja

 

Ab Ganj-e-Shakar Ka Do Sadqa
Sabir Kaliyar Ka Do Sadqa
Farooqi Tere Dar Par Hai Khada
Aye Khwaja Piya, Aye Khwaja Piya

 

Khairat Karam Ki Kar Do Ata
Aye Khwaja Piya, Aye Khwaja Piya

 

Khwaja Karam Kar Khwaja
Khwaja Karam Kar Khwaja

 

Moinuddin.. Moinuddin.. Moinuddin..

 

Manqabat Khwan: Hafiz Ahmed Raza Qadri

 

Manqabat Khwaja Ghareeb Nawaz Lyrics In Hindi And English

New Manqabat Khwan Piya 2023

Our Pages

Hamd-E-Baari-T’aala 

Naat-E-Paak         

Rabiul Awwal Mutalliq Kalam

Manqabat Ghaus e Azam

Manqabat Ghareeb Nawaaz

Shayar

Naat Khwan:

         Qawwali