Ambiya Ko Bhi Ajal Aani Hai Ghazal Lyrics

Ambiya Ko Bhi Ajal Aani Hai Ghazal Lyrics

Shayar:  Ala Hazrat  | Naat e Paak

Naat Khwan: Owais Raza Qadri, Rafique Raza Qadri, Mughees Raza Qadri, Sayed Rehan Raza Qadri, Sayyad Zaheer Ahmad Shah,

Hadaaiqe Bakhshish Part 1

Hindi And English Naat Lyrics

 

अम्बिया को भी अजल आनी है

मगर ऐसी कि फ़क़त आनी है

Ambiya Ko Bhi Ajal Aani Hai

Magar Aisi Ki Faqat Aani Hai

 

फिर उसी आन के बाद उनकी ह़यात

मिस्ले साबिक़ वोही जिस्मानी है

Fir Usi Aan Ke Baad Unki Hayaat

Misl-E-Saabiq Wohi Jismaani Hai

 

रुह तो सबकी है ज़िन्दा !  उनका

जिस्में पुरनूर भी रुह़ानी है

Rooh To Sabki Hai Zinda ! UnKa

Jisme Purnoor Bhi Roohani Hai

 

औरों की रुह हो कितनी ही लत़ीफ़

उन के अज्साम की कब सानी है

Auro(N) Ki Rooh Ho Kitni He Lateef

Unke Ajsaam Ki Kab Saani Hai

 

पाउं जिस ख़ाक पे रख दें वोह भी

रुह़ है पाक है नूरानी है

Pao(N) Jis Khaak Pe Rakh De(N) Woh Bhi

Rooh Hai Paak Hai Noorani Hai

 

उस की अज़्वाज को जाइज़ है निकाह़

उस का तर्का बटे जो फ़ानी है

Uski Azwaaz Ko Jaa’iz Hai Nikaah

Us Ka Tarka Batey Jo Faani Hai

 

यह हैं ह़य्ये अ-बदी उन को रज़ा

सिदक़े बा’दा की क़ज़ा मानी है

Yeh Hein Hayya Aa-Badi Un Ko RAZA

Sidq-E-Baada Ki Qaza Maani Hai

 

Ambiya Ko Bhi Ajal Aani Hai Ghazal Lyrics Hindi

Hindi And English Naat Lyrics


Our Pages


Naat-E-Paak         

Manqabat Ghaus e Azam

Manqabat Ghareeb Nawaaz

Manqabat Aala Hazrat

Rabiul Awwal Se Mutalliq Kalam

Naat Khwan:

         Qawwali         

Manqabat Shahidan e Karbala | Nohay Lyrics|

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *