Ajab Rang Par Hai Bahare Madina Naat Lyrics | Asad Iqbal

Ajab Rang Par Hai Bahare Madina Naat Lyrics
अजब रंग पर है बहारे मदीना

Naat Khwan: Asad Iqbal

 

अजब रंग पर है बहारे मदीना
के सब जन्नतें हैं निसारे मदीना
ये जन्नत की तस्वीर है
मदीना ही तक़दीर है

 

लबों पर सजा कर दुरूदों की बोली
चली आ रही है फ़रिश्तों की टोली

दमे सुब्हो उतरी है रह़मत की डोली
मुरादों से भर जाएगी सबकी झोली

वो नूरून अला नूर त़शरीफ़ लाए
ख़ुदाई के दस्तूर तशरीफ लाए

 

ये नूरानी तनवीर है
मदीना ही तक़दीर है

 

जो सूखे शजर थे हरे हो रहे हैं
बहारे बहश्ती में सब खो रहे हैं

जहानों के फितने कहीं सो रहे हैं
सभी मौज-ए-रह़मत से मुंह धो रहे हैं

दरे आमना चूमते हैं फ़रिश्ते
अजब बज्द में झूमते हैं फरिश्ते

 

ये आमद की तासीर है
मदीना ही तक़दीर है

 

ज़रा चार यारों की सीरत तो देखो
सदाक़त, अदालत, सुजाअत तो देखो

वो उस्मानी हुसने सदाक़त तो देखो
उवैसी, बिलाली मुह़ब्बत तो देखो

ये जल्वे नबी के माह-ओ-साल के हैं
ये सिक्के मदीने के टकसाल के हैं

 

ये आक़ा की जागीर है
मदीना ही तक़दीर है
__________________________
Ajab Rang Par Hai Bahare Madina
Ke Sab Jannatein Hain Nisar e Madina
Ye Jannat Ki Tasveer Hai
Madina Hee Taqdeer Hai

 

Labon Par Saja Kar Duroodon Ki Boli
Chali Aa Rahi Hai Farishton Ki Toli

Dum-e-Sub’ho Utri Hai Rahmat Ki Doli
Muradon Se Bhar Jayegi Sab Ki Jholi

Wo Noorun Ala Noor Tashrif Laye
Khudaai Ke Dastoor Tashreef Laye

 

Ye Noorani Tanveer Hai
Madina Hee Taqdeer Hai

 

Jo Sookhe Shajar The Harey Ho Rahe Hain
Bahare Bahishti Me Sab Kho Rahe Hai

Jahano Ke Fitne Kahin So Rahe Hain
Sabhi Mouj-e-Rahmat Se Muh Dho Rahe Hain

Dar-e-Aamna Choomte Hain Farishtey
Ajab wazd Me Jhoomte Hain Farishtey

 

Ye Aamad Ki Taseer Hai
Madina Hee Taqdeer Hai

 

Zara Char Yaron Ki Seerat To Dekho
Sadaqat, Adalat, Suja’at To Dekho

Wo Usmani Husne Sadaqat To Dekho
Uwaisi, Bilali Muhabbat To Dekho

Ye Jalwe Nabi Ke Mah-o-saal Ke Hain
Ye Sikke Madine Ke Taksaal Ke Hain

 

Ye Aaqa Ki Jageer Hai
Madina Hee Taqdeer Hai


Our Pages


Naat-E-Paak         

Manqabat Ghaus e Azam

Manqabat Ghareeb Nawaaz

Naat Khwan:

         Qawwali         

Manqabat Shahidan e Karbala | Nohay Lyrics|

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *