Aaya Kalam-e-Haq Me Rafaana Naat Lyrics
Naat Khwan: Habibullah Faizi Madhupuri
आया कलामें ह़क़ में रफ़ाना,
रिफ़अ़त ही कुछ ऐसी है।
जिसने मिटाना चाहा मिटा खुद
अज़मत ही कुछ ऐसी है।!
Aaya Kalam-e-Haq Me Rafaana
Rif’aat Hee Kuchh Aisi Hai.
Jisne Mitana Chaha Mita Khud
Azmat Hee Kuchh Aisi Hai
झूमें न झूमें आपकी मर्ज़ी
नाते रिसालत को सुनकर।
झूम रहे हैं सारे मलायक
के मिदहत ही कुछ ऐसी है।!
Jhoome Na Jhoome Aapki Marzi
Naate Risalat Ko Sunkar
Jhoom Rahe Hain Saarey Malayak
Ke Midhat Hee Kuchh Aisi Hai
मैंने ये पूछा चांद से बोलो
कैसे हुए तुम दो टुकड़े।
तो बोला क़मर कि अंगुस्ते नबी
की कुदरत ही कुछ ऐसी है।!
Maine Poochha Chand Se Bolo
Kaise Huye Tum Do Tukde
To Bola Qamar Ki Angustey Nabi
Ki Qudrat Hee Kuchh Aisi Hai
बोले उमर मैं क़त्ले नबी के
वास्ते निकला था लेकिन।
देख के ही ख़ुद क़त्ल हुआ मैं
सूरत ही कुछ ऐसी है।!
Bole Umar Mai Qatle Nabi Ke
Waste Nikla Tha Lekin
Dekh Ke Khud Qatl Hua Mai
Soorat Hee Kuchh Aisi Hai
नाते नबी के शुगल ने फ़ैज़ी
को इतना अनमोल किया।
अरे कोई नहीं जो इसको खरीदे
कीमत ही कुछ ऐसी है।!
Naate Nabi Ke Shugl Ne faizi
Ko Itna Anmol Kiya
Arey Koi Nahin Jo Isko Khareede
Keemat Hee Khuchh Aisi Hai
Related Kalam:
- Dho Qalam Ko Mushk Se Phir
- Darbar e Nabi Pe Sar Rakh Kar
- Aa Gaye Huzoor Aa Gaye
- Ghar Baar Leke Pahunche Shabbir Karbala Mai
- Hoga Ik Jalsa Hashr Me Aisa
- Koi Ahle Iman Jahannum Me Jaye
- Mayoos kyon takta hai khada